Me Too Apne Mohan Ki Pyari, Sajan Mero Girdhari (मैं तो अपने मोहन की प्यारी: भजन)


Main to Apne Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari,
Sajan Mero Girdhari,
Girdhari Girdhari,
Girdhari Girdhari,
Main to Apne Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥
Kaun Roop Kaun Rang,
Ang Shobha Kahu Sakhi,
Kabahu Na Dekhi Sohani,
Chhavi Vo Nirali Hai,
Tan Man Dhan Vari,
Sanwari Soorat Pyari,
Madhuri Madhur Teeno,
Lokan Te Nyari Hai,

Mukut Latak Dharyo,
Rahyo Matvaro Hai,
Ain Sen Nain Ben,
Jag Ujiyaro Hai,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Main to Apanen Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥

Aake Mathe Pe Mukut Dekh,
Chandr Ka Chatak Dekh,
Airi Chhavi Ki Latak Dekh,
Roop Ras Pijie,
Lochan Vishal Dekh,
Gale Goonj Maal Dekh,
Adhar Sulal Dekh,
Nain Ras Lijie,

Pitambar Ki Chhor Dekh,
Murli Ki Aur Dekh,
Sanware Ki Aur Dekh,
Dekhte Hi Reejhie,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Main to Apanen Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥

Ko Kaho Kulata,
Kulin Akulin Kou,
Ko Kaho Rankan,
Kalankan Kunnari Hoon,
Kaiso Devlok,
Parlok Trilok Main to,
Teeno Alok Lok,
Linkan Te Nyari Hoon,

Tan Tajoo Dhan Tajoo,
Dev Guru Jaan Tajoo,
Neh Kyo Na Jaoon,
Nain Sanware Pe Vari Hai,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Main to Apanen Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥

Gagan Mandal Take,
Chandrama Mashalachi Hai,
Lakho Lakho Tare Jake,
Deepak Darbar Hai,
Brahma Vazeer Jake,
Vishnu Kardar Jake,
Shankar Deewan Take,
Indr Jamadar Hai,

Kahe Avdhoot ‘jaya’,
Samajh Vichar Dekho,
Lakshmi Charan Auku,
Kuber Bhandari Hai,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Aiso Hai Re Mero Girdhari,
Mai to Apanen Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥

Mai to Apne Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari,
Sajan Mero Girdhari,
Girdhari Girdhari,
Girdhari Girdhari,
Main to Apne Mohan Ki Pyari,
Sajan Mero Girdhari ॥
मैं तो अपने मोहन की प्यारी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं तो अपने मोहन की प्यारी, सजन मेरो गिरधारी...
Bhajan Jaya Kishori Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare