॥Shri Banke Bihari Ji Ke Bhakton Ke Dil Ki Pukar Hain Is Bhajan Mein ॥
Mera Kho Gaya Dil , Vrindavan Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mera Tan , Mera Man , Mera Pura Jeevan ,
Mene Kar Diya Sab Kuch , Tere Arpan ,
Mujhe Rehna Hai Ab , Tere Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mera Kho Gaya Dil , Vrindavan Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mujhe Tera Hi Bharosa , Mujhe Tera Hi Sahara ,
Mujhe Lagta Hai Shyam , Tera Dham Yeh Pyara ,
Mujhe Rehna Hai Ab , Tere Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mera Kho Gaya Dil , Vrindavan Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mujhe Sona Nahin Bhave , Mujhe Chandi Nahin Bhave ,
Mujhe Hira Nahin Bhave , Mujhe Moti Nahin Bhave ,
Mujhe Milta Hai Sukh , Tere Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein ,
Mera Kho Gaya Dil , Vrindavan Dham Mein ,
Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein।