Naam Uska Hai Banke Bihari ( नाम उसका है बाँके बिहारी: भजन)


Hum Garibon Se Rakhata Hai Yari,
Naam Uska Hai Banke Bihari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥
Pyari Lagati Garibon Ki Naiya,
Baith Jaata Hai Banake Khivaiya,
Bhul Jata Hai Dekho Sarakari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Log Kahate Hai Triloki Naath Hai,
Uske Haath Mein Garibon ka Haath Hai,
Sayad Janta Nahi Wo Duniya Dari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Usaka Jhopadi Main Hai Jana Aana,
Swad Lagata Bidur Ji Ka Khana,
Khud Ko Kehata Hai Prem Ka Pujhari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Maal Narasi Ka Pahale Lutwaya,
Ghar Banwari Mira Ka Chutaya,
Pyara Lagata Sudama Bhikhari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Hum Garibon Se Rakhata Hai Yari,
Naam Uska Hai Banke Bihari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥
नाम उसका है बाँके बिहारी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हम गरीबों से रखता है यारी, नाम उसका है बांके बिहारी, नाम उसका है बाँके बिहारी ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Maine Tere Hi Bharose Hanuman

A bhajan from the movie Hanuman Ansh based on Baba Neeb Karori, Maine Tere Hi Bharose Hanuman, Sagar Main Naiya Daal Dae ॥

Haye Haye Rasik Rasiya Nahi Lage Jiya

Hay Hay Rasik Rasiya, Nahin Lage Tere Bin Jiya — Haye Haye, O Tune Pagal Banaya, Aisa Chakkar Chalaya, Jane Kaisa Sitam Kar Diya, Hay Hay Hay Hay, Hay Hay Rasik…………॥

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...