Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga (नाकोड़ा के भैरव तुमको आना होगा - भजन)


Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga
Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga ।
Ham Bhakton Ko Darash Dikhana Hoga,
Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga ॥
Tere Dar Pe Bhairav Mere, Sab Mil Aate Hain,
Tere Dar Pe Dada Mere, Sab Mil Aate Hain,
Bhakti Ke Geeton Se Tumko Rijhate Hain,
Jhoom Jhoom Tumko Bhi Gana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga,
Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga..

Mere Is Jeevan Me Bhairav, Chhaya Andhiyara Hain,
Mere Is Jeevan Me Daada, Chhaya Andhiyara Hain,
Saari Duniya Chhod Ke Aae, Tu Hi Sabse Pyara Hain,
Jeevan Se Duhkh Ko Hatana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga,
Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga..

Sab Bhakton Ko Mere Dada, Tera Hi Sahara Hain,
Sab Bhakton Ko Mere Dada, Tera Hi Sahara Hain,
Bhavanro Mein Dole Naiyya, Milta Na Kinara Hain,
Naiyya Ko Bhav Se Paar Lagana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga,
Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga,
Dam Dam Damru Bajana Hoga..

नाकोड़ा के भैरव तुमको आना होगा - भजन हिन्दी में पढ़ें

नाकोड़ा के भैरव तुमको आना होगा, डम डम डमरू बजाना होगा । हम भक्तों को दरश दिखाना होगा..
Read Also

Bhajan Jain BhajanJainism BhajanDaslakshan Parva BhajanParyushana BhajanJain Samaj BhajanNakoda BhajanBhairav BhajanNakoda Bhairav Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥

Kripa Karo Hey Shanidev

Kripa Karo Hey Shani dev, Kripa Karo Hey Shani dev, Majhadhar Mein Hai Naiyya, Majhadhar Mein Hai Naiyya Prabhu Paar Karo ॥

Jai Jai Hey Shani Raj Dev

Jai Jai Hey Shani Raj Dev Teri Jai Jai Kar, Tu Hi Meri Sukh Shanti Hai Tu Hi Mera Aadhar, Jai Jai Hey Shani Raj Dev Teri Jai Jai Kar, Tu Hi Meri Sukh Shanti Hai Tu Hi Mera Aadhar ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP