Prabhu Jo Tumhe Hum Batakar Ke Roye (प्रभु जो तुम्हे हम, बताकर के रोये: भजन)


Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye,
Batakar Ke Roye,
Use Dil Main Kab Se,
Daba Kar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥
Kisi Ne Na Samjhi,
Meri Bekarari,
Mila Na Koi Apna,
Duniya Main Sari,
Esi Bebasi Ko,
Chupa Kar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥

Samjh Kar Mukadar,
Hamara Yahi Hai,
Jo Tumne Likha Hai,
Wo Hota Sahi Hai,
Khusi Main Hai Sabko,
Jatakar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥

Mohabbat Hai Kya Chij,
Wafa Kisko Kehte,
Nahi Khoj Paoge,
Duniya Main Rehte,
Hum Hi Ase Bandhan,
Nibha Kar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥

Ye Dil Ki Jo Baten,
Tumhai Kah Rahe Hain,
Hai Chaale Jo Naino Ki,
Raah Bah Rahe Hai,
‘Pankaj’ Tumhe Jo,
Dekha Kar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥

Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye,
Batakar Ke Roye,
Use Dil Main Kab Se,
Daba Kar Ke Roye,
Prabhu Jo Tumhe Hum,
Batakar Ke Roye ॥
प्रभु जो तुम्हे हम, बताकर के रोये: भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु जो तुम्हे हम, बताकर के रोये, बताकर के रोये, उसे दिल में कब से, दबा कर के रोये, प्रभु जो तुम्हें हम, बताकर के रोये ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhko Jeevan Mila Hai Anmol

Shubh Karmo Ka Khata Khol, O Bande, Radhe Radhe Bol, Tujhko Jeevan Mila Han, Anmol, O Bande, Radhe Radhe Bol।

Rakho Hath Dhal Talwar Majbuti Jagdamba

Rakho Hath Dhal Talwar Muth Majbuti, Muth Majbuti E Dharde Re Jagdamba, Raajputon Mein Majbuti...

Thari Chakari Karungo Din Raat Banalyo Mhane Chakariyo

Thari Chakari Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Thaari Seva Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Chaakriyo E Dadi Sevkiyo, Thaaran Gun Gaoon Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo ॥

Jis Bhajan Mein Ram Ka Nam Na Ho

Jis Bhajan Mein Ram Ka Naam Na Ho, Us Bhajan Ko Gana Na Chahiye |..

Ram Hi Paar Lagavenge

Aji Main to Ram Hi Ram Bhajoon Ri Mere Ram, Ram Hi Paar Lagavenge..