Sari Duniya Hai Diwani Radha Rani Aapki (सारी दुनियां है दीवानी, राधा रानी आप की - भजन)


Sari Duniyan Hai Deewani,
Radha Rani Aap Ki,
Kaun Hai! Jis Par Nahin Hai,
Meharbani Aap Ki ।
Sari Duniyan Hai Deewani,
Radha Rani Aap Ki ।
Sara Jahaan Hai Ek Chaman Aur,
Is Chaman Ke Phool Hum,
In Sabhi Phulo Mein Shyama,
Ham Nishani Aap Ki ।
॥ Kaun Hai! Jis Par Nahin Hai..॥

Jaise Ganga Aur Yamuna Ki,
Dhara Bahati Bhoomi Par,
Vaise Hi Bahati Hai Mamta,
Radha Rani Aap Ki ।
॥ Kaun Hai! Jis Par Nahin Hai..॥

Tan Bhi Tera Man Bhi Tera,
Mera Kya Hai Ladli,
Tera Tujhko Saumpti Hoon,
Yah Nishani Aap Ki ।
॥ Kaun Hai! Jis Par Nahin Hai..॥

Umr Bhar Gati Rahun Main,
Mahima Shyama Aap Ki,
Apne Charnon Mein Hi Rakhna,
Meharbani Aap Ki ।

Sari Duniyan Hai Deewani,
Radha Rani Aap Ki,
Kaun Hai! Jis Par Nahin Hai,
Meharbani Aap Ki ।
Sari Duniyan Hai Deewani,
Radha Rani Aap Ki ।
सारी दुनियां है दीवानी, राधा रानी आप की - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सारी दुनियां है दीवानी, राधा रानी आप की, कौन है, जिस पर नहीं है, मेहरबानी आप की..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanShri Radha Rani BhajanHariyali Teej BhajanPoonam Didi Bhajan

Other Popular Sari Duniya Hai Diwani Radha Rani Aapki Video

H. G. Lal Govind Das

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re