Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Kaise Jiun Main Radha Rani Tere Bina (कैसे जिऊ मैं राधा रानी तेरे बिना!)


Kaise Jiun Main Radha Rani Tere Bina
Kaise Jiun Main Radha Rani Tere Bina,
Mera Man Hi Na Lage Tumhare Bina॥
Mere Papon Ka Koi Thikana Nahin,
Teri Prit Kya Hoti Jana Nahin,
Sharan Dedo Mere Awagun Nihare Bina॥
॥ Kaise Jiun Main Radha Rani...॥

Mohe Preet Ki Reet Sikha Do Priya,
Apani Yado Mein Rona Sikha Do Priya,
Jeevan Neeras Hai Akhion Ke Tare Bina॥
॥ Kaise Jiun Main Radha Rani...॥

Pyari Patiton Ki Patavar Tum Hi To Ho,
Deen Dukhion Ki Aadhar Tumhin To Ho,
Ab Main Jaun Kaha Tere Dware Bina॥
॥ Kaise Jiun Main Radha Rani...॥

Kaise Jiun Main Radha Rani Tere Bina,
Mera Man Hi Na Lage Tumhare Bina॥

कैसे जिऊ मैं राधा रानी तेरे बिना! हिन्दी में पढ़ें

कैसे जिऊ मैं राधा रानी तेरे बिना, मेरा मन ही ना लागे तुम्हारे बिना॥

Bhajan Shri Radha Rani Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Saniwar Ko Kasht Kate Mangal Ho Mangalwar

Aa Jao Aur Kirapa Pa Lo, Haphte Mein Do Baar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar,
Shanivar Ko Kasht Kate, Mangal Ho Mangalavar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar ॥

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao, Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥

Shree Ram Bhakt Bajrangi Tere Khel Hai Ajab Nirale

Shree Ram Bhakt Bajarangi, Tere Khel Hai Ajab Nirale, Prabhu Ki Sewa Main Tumne, Prabhu Ki Sewa Main Tumne, Kitne Hi Kaaj Saware, Shree Ram Bhakt Bajarangi, Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye

Aasra Is Jahaan Ka Mile Na Mile, Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP