Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

O Sanware Humko Tera Sahara Hai (भजन: ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है)


O Sanware Humko Tera Sahara Hai
O Sanware Humko Tera Sahara Hai,
Teri Rahmato Se Chalta,
Teri Rahmato Se Chalta Mera Gujara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥
Tumse Judi Hui Hai Meri Har Kahani,
Tere Bharose Baba Meri Jindgaani,
Tum Par Hi Nirbhar Baba,
Tum Par Hi Nirbhar Baba Jeevan Ye Sara Hai ,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Pita Ki Tarah Tumne Sikh Sikhai,
Maa Ki Tarah Tumne Mamta Lutai,
Meri Galatiyon Ko Baba,
Meri Galatiyon Ko Baba Sada Hi Bisara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Jeevan Ko Jabase Tumne Chhua Hai,
Har Ek Lamha Tab Se Sunhara Hua Hai,
Ek Ek Pal Ko Tumne,
Har Ek Pal Ko Tumne Pyar Se Savara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Rajni Ko Aap Jaisa Sathi Na Milega,
Banakar Jo Saya Harpal Saath Jo Chalega,
Sonu Kahe Koi Baba,
Sonu Kahe Koi Baba Tumsa Na Pyara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

O Sanware Humko Tera Sahara Hai,
Teri Rahmato Se Chalta,
Teri Rahmato Se Chalta Mera Gujara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

भजन: ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है हिन्दी में पढ़ें

ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है, तेरी रहमतो से चलता, तेरी रहमतो से चलता मेरा गुजारा है..
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRajni Rajasthani BhajanFagan Mela Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

New Bhaye Pragat Kripala Bhajan By Manoj Muntashir

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein, Uska Diya Re Jalega Toophan Mein ।

Mil Kaho Garv Se Hindu Hain Ham

Mil Kaho Garv Se Hindu Hai Hum, Yah Hindustan Humara, Tha Swami Ji Ka Nara...

Rom Rom Me Basa Hua Hai Ek Usi Ka Naam

Rom Rom Mein Basa Hua Hai, Ek Usi Ka Naam, Tu Japle Ram Ram Ram, Tu Bhajle Ram Ram Ram, Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Badhaiya Baje Angane Mein

Badhaiya Baje Aangne Mein, Badhaiya Baje Aangne Me ॥Chandramukhi Mrignayani Avadh Ki, Todat Taane Raagne Mein..

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP