Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ramji Ki Nikali Sawari Ramji Ki Leela Hai Nayari (रामजी की निकली सवारी - भजन)


Ramji Ki Nikali Sawari Ramji Ki Leela Hai Nayari
Sar Pe Mukut Saje Mukh Pe Ujala
Hath Dhanush Gale Mein Pushp Mala
Ham Daas Inke Ye Sabke Swami
Anjaan Ham Ye Antarayami
Shish Jhukao Ram Gun Gao
Bolo Jai Vishnu Ke Avatari
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai,
Ek Taraph Lakshman Ek Taraph Sita,
Bich Mein Jagat Ke Palanhaari,
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai, Nyari Nyari,

Dhire Chala Rath O Rath Vale,
Tohe Khabar Kya O Bhole Bhale,
Ek Baar Dekhe Dil Na Bharega,
Sau Baar Dekho Phir Ji Karega,
Vyaakul Bade Hain Kabase Khade Hain,
Darshan Ke Pyase Sab Nar Nari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hain Nyari,

Chaudah Baras Ka Vanavas Paya,
Mata Pita Ka Vachan Nibhaya,
Dhokhe Se Har Li Ravan Ne Sita,
Ravan Ko Mara Lanka Ko Jeeta,
Tab Tab Ye Aye, Tab Tab Ye Aye,
Jab Jab Ye Duniya Inko Pukari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hain Nyari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai,
Ek Taraph Lakshman Ek Taraph Sita,
Beech Mein Jagat Ke Palanahari,
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai, Nyari Nyari,

रामजी की निकली सवारी - भजन हिन्दी में पढ़ें

सर पे मुकुट सजे मुख पे उजाला, हाथ धनुष गले में पुष्प माला...
 
 
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanLaxmikant Pyarelal BhajanMovie Sargam Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥

Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya Dil Gaya Haar Sanware

Mere Baba Tujhe Kisane Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware, Main Mud Mud Dar Tere Aaya,
Mud Mud Dar Tere Aaya, Dil Gaya Haar Sanware, Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware ॥

Main Sewak Tu Malik Shyam Hamara Hai

Hum Donon Ka Rista, Kitana Pyara Hai, Main Sewak Tu Malik, Shyam Hamara Hai ॥

Mahakal Ki Lagan

Mohe Lagi Re Lagan Mahakal Ki Lagan, Tumhare Naam Se Kismat Meri Saja Lu Mein, Tumhare Charanon Ko Hi Apana Ghar Bana Lu Mein, Mujhe Kar Gae Magan, Mahakal Ki Lagan ॥

Govinda Aane Wala Hai

Karalo Tayari Swagat Ki, Gobinda Aane Wala Hai, Gobinda Aane Wala Hai, Gobinda Aane Wala Hai,
Karalo Tayari Swagat Ki, Gobinda Aane Wala Hai ॥

Deewana Hame Bana Gayo

Radhavallabh Laal Hamare, Nainan Bich Sama Gayo, Deewana Hamen Bana gayo, Mastana Hamen Bana Gayo ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP