Ekadashi Mata Ki Aarti (एकादशी माता की आरती)


Om Jai Ekadashi, Jai Ekadashi, Jai Ekadashi Mata.
Vishnu Pooja Vrat Ko Dharan Kar, Shakti Mukti Pata ॥
Om Jai Ekadashi… ॥Tere Naam Ginaoon Devi, Bhakti Pradan Karni.
Gan Gaurav Ki Deni Mata, Shastron Mein Varni ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Margashirsh Ke Krshnapaksh Ki Utpanna, Vishwatarani Janmi.
Shukl Paksh Mein Hui Mokshada, Muktidata Ban Aai ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Paush Ke Krshnapaksh Ki, Saphla Namak Hai.
Shuklapaksh Mein Hoy Putrada, Anand Adhik Rahai ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Naam Shatatila Magh Maas Mein, Krshnapaksh Avai.
Shuklapaksh Mein Jaya, Kahavai, Vijay Sada Pavai ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Vijaya Phagun Krshnapaksh Mein Shukla Amalaki.
Papmochani Krshn Paksh Mein, Chaitr Mahabali Ki ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Chaitr Shukl Mein Naam Kamada, Dhan Dene Wali.
Naam Baruthini Krshnapaksh Mein, Vaisakh Maah Wali ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Shukl Paksh Mein Hoy Mohini Apara Jyeshth Krshnapakshi.
Naam Nirjala Sab Sukh Karani, Shuklapaksh Rakhi ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Yogini Naam Aashadh Mein Janon, Krshnapaksh Karani.
Devashayani Naam Kahayo, Shuklapaksh Dharani ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Kamika Shravan Maas Mein Aavai, Krshnapaksh Kahie.
Shravan Shukla Hoy Pavitra Anand Se Rahie ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Aja Bhadrapad Krshnapaksh Ki, Parivartini Shukla.
Indra Ashchin Krshnapaksh Mein, Vrat Se Bhavasagar Nikala ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Papankusha Hai Shukl Paksh Mein, Aap Haranahari.
Rama Maas Kartik Mein Aavai, Sukhadayak Bhari ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Devotthani Shuklapaksh Ki, Dukhanashak Maiya.
Pavan Maas Mein Karoon Vinati Paar Karo Naiya ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Parama Krshnapaksh Mein Hoti, Jan Mangal Karani.
Shukl Maas Mein Hoy Padmini Dukh Daridr Harani ॥
Om Jai Ekadashi… ॥

Jo Koi Aarti Ekadashi Ki, Bhakti Sahit Gavai.
Jan Guradita Swarg Ka Vasa, Nishchay Vah Pavai ॥
Om Jai Ekadashi… ॥
एकादशी माता की आरती - हिन्दी में पढ़ें
ॐ जय एकादशी, जय एकादशी, जय एकादशी माता। विष्णु पूजा व्रत को धारण कर, शक्ति मुक्ति पाता॥
Aarti Ekadashi Mata Ki Aarti Aarti
If you love this aarti please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Aarti - Om Jai Shiv Omkara

Lord Shiv is also called by the name of Shankar, Bholanath and Mahadev. Devotees celebrate shivatva..

Shri Ram Stuti

Shri Ram Vandana which has been prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand, Ram Stuti Lyrics in Hindi and English

Shri Shani Dev Aarti Keejai Narasinh Kunwar Ki

Aarti Keejai Narasinh Kunvar Ki। Ved Vimal Yash Gaun Mere Prabhuji॥ Pahali Aarti Prahlad Ubare...

Aarti: Om Jai Jagdish Hare

Om Jaye Jagdish Hare, Swami Jaye Jagdish Hare, Bhagt Jano Ke Sankat, Khshan Mein Door Kare॥ - om jai jagdish hare lyrics in hindi and English

Hanuman Aarti

Manojavm maaruta tulyavegam। jitendriyam buddhimatam varissttha | Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki । Dushat Dalan Ragunath Kala Ki ॥..