Aisi Suwah Na Aye Aye Na Aisi Sham (ऐसी सुबह ना आए, आए ना ऐसी शाम: भजन)


Shiv Hai Shakti, Shiv Hai Bhakti, Shiv Hai Mukti Dham ।
Shiv Hai Brahma, Shiv Hai Vishnu, Shiv Hai Mera Ram ॥
Aisi Subah Na Aye, Aye Na Aisi Sham ।
Jis Din Juba Pe Meri, Aye Na Shiv Ka Naam ॥

Om Namah Shivay, Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ॥

Man Mandir Mein Vaas Hai Tera, Teri Chhavi Basai ।
Pyasi Atma Banke Jogan, Teri Sharan Mein Ayi ।
Teri Hi Sharan Mein Paya, Mainne Yah Vishram ॥ Aisi Subah Na Aye ॥

Om Namah Shivay, Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ॥

Teri Khoj Mein Na Jene, Kitne Yug Mere Bite ।
Ant Mein Kaam Krodh Mad Hare, Hai Bhole Tum Jeete ।
Mukt Kiya Tune Prabhu Mujhko, Shat Shat Hai Pranam ॥ Aisi Subah Na Aye ॥

Om Namah Shivay, Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ॥

Sarv Kala Sammpan Tumhi Ho, He Mere Parmeshwar ।
Darshan Dekar Dhany Karo Ab, He Trinetr Maheshwar ।
Bhav Sagar Se Tar Jaungi, Lekar Tera Naam॥ Aisi Subah Na Aye ॥
ऐसी सुबह ना आए, आए ना ऐसी शाम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऐसी सुबह ना आए, आए ना ऐसी शाम। जिस दिन जुबा पे मेरी, आए ना शिव का नाम॥
Bhajan Bhagwan Shiv BhajanMahadev Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Diwane Shree Ram Ke

Bhagway Ke, Tilak Ke, Aur Bus Ek Naam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke, Jo Ram Ke Nahin, Na Hamare Kisi Kaam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Laddu Gopal Mera Chota Sa Hai Lalaa

Laddoo Gopal Mera, Laddoo Gopal, Chhota Sa Hai Lala Mera...

Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri

Naiya Majhdhar Meri, Tuti Patwar Meri, Ban Ke Tu Manjhi, Aaja Shyam Mere ॥