Are Re Meri Jaan Hai Radha (अरे रे मेरी जान है राधा - भजन)


Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Are Re Meri Jaan Hain Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main,
Jab Bhi Bane Tu Radha Shyam Banunga ,
Jab Bhi Bane Tu Sita Ram Banunga,
Tere Bina Adha Subah Sham Kahunga,
Atma Se Radha-radha Naam Kahunga ।

Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main ॥

Sundar Nain Vishal,
Mohani Soorat Pyari Hain,
Kitni Gwalan Gopiyan,
Tu Sabse Nyari Hai,
Tum Bin Ras Rachau Kaise,
Janat Sari Hai,
Shyam Ki Dil Ki Rani,
Tu Barsane Wali Hai ॥

Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main ॥

Tera Hi to Naam Pukare,
Bansi Bhori Ri,
Gaiya Bhi Pahachane Radha,
Mahak Tori Ri,
Tune Kini Nainan Se,
Mere Man Ki Chori Ri,
Kaisi Jodi Krishn Kara,
Radha Gori Ri ॥

Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main ॥

Hichki Aaye Radha Teri,
Yaad Satati Hai,
Yamuna Ki Laharon Mein Teri,
Jhalak Si Aati Hain,
Saj Dhaj Ke Sakhiyon Mein Too,
Panghat Jaati Hain,
Sookhi Dharti Mein Bhi Prit Ke,
Kamal Khilati Hain ॥

Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main ॥

Jab Bhi Bane Tu Radha Shyam Banunga ,
Jab Bhi Bane Tu Sita Ram Banunga,
Tere Bina Adha Subah Sham Kahunga,
Atma Se Radha Radha Naam Kahunga ।

Are Re Meri Jaan Hai Radha,
Tere Pe Qurban Main Radha,
Rah Na Sakunga Tumse Door Main ॥
अरे रे मेरी जान है राधा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अरे रे मेरी जान है राधा, तेरे पे क़ुर्बान मैं राधा, रह न सकूंगा तुमसे दूर मैं ॥...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna Bhajan

Other Popular Are Re Meri Jaan Hai Radha Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara!

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara, Hari Ke Bhajan Bin, Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara

Sab Dhamo Se Dham Nirala Shri Vrindavan Dham

Sab Dhamon Se Dham Nirala, Shri Vrindavan Dham, Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje, Pyare Shyama Shyam, Mera Vrindavan Pyara, Mera Brajdham Hai Nyara..

Main To Apne Shyam Ki Diwani Ban Jaungi

Main to Apne Shyam Ki, Diwani Ban Jaungi, Mastani Ban Jaungi...