Bhole Meri Naiya Ko Bhav Paar Laga Dena (भोले मेरी नैया को भाव पार लगा देना - भजन)


Bhole Meri Naiya Ko Bhav Paar Laga Dena ॥
Shlok-
Bhole Mein Tere Dar Pe,
Kuchh Aas Liye Aaya Hoon ,
Tere Darshan Ki Man Mein,
Ek Pyaas Liye Aaya Hoon ,
Ab Chhod Diya Jag Saara,
Sab Tod Diye Rishte,
Vishwas Hai Bhakti Ka,
Man Mein Vishwas Liye Aaya Hoon ॥

Bhole Meri Naiya Ko Bhav Paar Laga Dena
Hai Aapke Hatho Mein Meri Bigdi Bana Dena ॥

Tum Shankh Baja Karke Duniya Ko Jagate Ho
Damroo Ki Madhur Dhun Se Sadmarg Dikhate Ho
Mein Moorakh Sab Mere Avgun Ko Bhula Dena
Bhole Meri Naiyya Ko Bhav Paar Laga Dena ॥

Shlok-
Duniya Jise Kahte Hai Maya Hai Tumhari,
Kan Kan Mein Yahan Shambhu Chhaya Hai Tumhari,
Mera to Kuchh Bhi Nahin Hai Na Swas Hai Na Dhadkan,
Ye Pran Hai Tumhara Kaya Hai Tumhari ॥

Har Aur Andhera Hai Toofaan Ne Ghera Hai
Koi Raah Nahin Dikhati Ek Tujhpe Bharosa Hai
Ek Aas Lagi Tujhse Meri Laaj Bacha Lena
Bhole Meri Naiyya Ko Bhav Paar Laga Dena ॥

Hey Jagdamba Ke Swami Devadidev Namami
Sabke Man Ki Tum Jano Shiv Shankar Antaryami
Duhkh Aap Mere Man Ka Mahadev Mita Dena
Bhole Meri Naiya Ko Bhav Paar Laga Dena ॥

Shlok-
Hey Mahakal Tumhare Dar Pe Log,
Khali Hath Aate Hai,
Aur Jholi Bhar Kar Jaate Hai,
Koi Baat to Hai Mahakal,
Tumhare Darshan Mein,
Tabhi to Lakho Log,
Tumko Sheesh Jhukate Hai ॥

Mahadev Jata Mein Tumne Ganga Ko Chhupaya Hai
Mathe Par Chandr Sajaya Vishdhar Liptaya Hai
Mujhe Nath Gale Apne Mahakal Laga Lena
Bhole Meri Naiyya Ko Bhav Paar Laga Dena ॥

Bhole Meri Naiya Ko Bhav Paar Laga Dena
Hai Aapke Hatho Mein Meri Bigdi Bana Dena ॥
भोले मेरी नैया को भाव पार लगा देना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले मेरी नैया को भाव पार लगा देना , है आपके हाथो में मेरी बिगड़ी बना देना ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

mera bhola shankar

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye Teen Lok

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye, Teen Lok Ik Pal Bhar Mein । Aise Deendayal Mere Data, Bhare Khajana Pal Bhar Mein

Mere Bhole Baba Arzi Suno Main Tumhe Manane Aayi Hun

Mere Bhole Baba Arzi Suno, Main Tumhe Manane Aayi Hun, Meri Bigadi Bana Dege Baba,
Mein Tumhai Manane Aayi Hun, Mere Bhole Baba Arzi Suno ॥