Dhan Dhan Bholenath Bant Diye Teen Lok (धन धन भोलेनाथ बॉंट दिये, तीन लोक - भजन)


Dhan Dhan Bholenath Bant Diye,
Teen Lok Ik Pal Bhar Mein ।
Aise Deendayal Mere Data,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein ॥
Pratham Ved Brahma Ko De Diya,
Bana Ved Ka Adhikari ।
Vishnu Ko Diye Chakr Sudarshan,
Lakshmi Si Sundar Nari ।
Indr Ko De Diye Kaam Dhenu,
Aur Airavat Sa Balkari ।
Kuber Ko Sari Vasudha Ka,
Kar Diya Tumne Bhandari ।
Apne Paas Patr Nahin Rakkha,
Rakkha to Khappar Kar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥

Amrit to Devtaon Ko De Diye,
Aap Halahal Paan Kare ।
Brahm Gyan De Diya Usi Ko,
Jisne Aapka Dhyan Dhare ।
Bhagirath Ko Ganga De Dai,
Sab Jag Ne Asnan Kare ।
Bade Bade Papiyon Ko Tare,
Pal Bhar Mein Kalyan Kare ।
Apne Tan Par Vastra Na Rakkha,
Magan Rahe Baghambar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥

.Lanka Gadh Ravan Ko De Diye,
Bis Bhuja Das Seesh Diye ।
Ramchandrji Ko Dhanush Baan,
Aur Hanuman Ko Gada Diye ।
Manmohan Ko Murli De Dai,
Mor Mukut Baksheesh Kiye ।
Mukti Hetu Kashi Mein Vaas,
Bhakton Ko Biswabish Kiye ।
Aap Nashe Mein Rahe Choor Bhola,
Bhang Piye Nit Khappar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥

Narad Ji Ko Veena De Dai,
Gandharvon Ko Raag Diye ।
Brahman Ko Diya Karm Kand,
Aur Sanyasi Ko Tyag Diye ।
Jisne Aapka Dhyan Lagaya,
Usko to Anurag Diye ।
Devi Sing Kahe Banarasi Ko,
Sabse Uttam Bhaag Diye ।
Jisne Dhyaya Usi Ne Paaya,
Mahadev Tumhare Var Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye,
Teen Lok Ik Pal Bhar Mein ।
Aise Deendayal Mere Data,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein ॥
धन धन भोलेनाथ बॉंट दिये, तीन लोक - भजन - हिन्दी में पढ़ें
धन धन भोलेनाथ बॉंट दिये, तीन लोक इक पल भर में ऐसे दीनदयाल मेरे दाता, भरे खजाना पल भर में॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanPrembhushan Ji Bhajan

Other Popular Dhan Dhan Bholenath Bant Diye Teen Lok Video

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye Teen Lok - Shri Krishna Gopal Suvedi

By 𝐓𝐀𝐍𝐕𝐈 𝐘𝐀𝐒𝐇 𝐃𝐎𝐍𝐆𝐀

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Hey Nath Daya Karke Meri Bigdi Bana Dena

Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena, Ab Tak Jo Nibhaya Hai, Age Bhi Nibha Dena, Age Bhi Nibha Dena, Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena ॥

Shiv Tandav Stotram And Kon Hai Woh From Bahubali

Jata Kata Hans Bhramabhramanni Limp Nirjhari, Vilolavi Chivallari Virajaman Murdhani...

Itni Vinti Hai Tumse Hai Bhole Mere

Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Vaise Hi Aage Aur Nibha Lena Tum, Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥