Duniya Se Jab Main Hara Too Aaya Tere Dwar (दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार - भजन)


Duniya Se Main Hara to Aaya Tere Dwar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥
Sukh Mein Kabhi Na Teri Yaad Hai Aai,
Duhkh Mein Sanwariya Tumse Preet Lagai,
Sara Dosh Hai Mera Mein Karta Hoon Swikar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Mera to Kya Hai Mein to Pahle Se Hara,
Tumse Hi Puchhega Ye Sansar Sara,
Doob Gai Kyon Naiya Tere Rahte Khewanhar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Sab Kuchh Gavaya Bas Laaj Bachi Hai,
Tujhpe Kanhaiya Meri Aas Tiki Hai,
Suna Hai Tum Sunte Ho Ham Jeso Ki Pukar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Jinko Sunaya Sonoo Apna Fasana,
Sabne Bataya Mujhe Tera Thikana,
Sab Kuchh Chhod Ke Aakhir Aaya Tere Darbar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥
दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार, यहाँ पे भी जो हारा, कहाँ जाऊंगा सरकार॥
Bhajan Shri Krishna BhajanKhatushyam BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanArya Samaj BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism Bhajan

Other Popular Duniya Se Jab Main Hara Too Aaya Tere Dwar Video

By Sarala Dahiya And Neerja Dahiya

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Ka Naam Lo

Shiv Ka Naam Lo । Har Sankat Mein Om Namo Shivay, Bas Yah Naam Japo ॥

Kawad Utha Le Dhyan Shiv Ka Laga Le

Kawad Utha Le Dhyan, Shiv Ka Lagale, Bhar Denge Jholi Bhole, Bigdi Bana Le, Har Har Mahadev,
Har Har Mahadev ॥

Shivoham Shivoham Shivoham

Hai Ek Onkar Niranjan Nirankar,
Hai Ajar Amar Aakar
Vishwadhara Man Bhaje ।

Chal Kawariya, Chal Kawariya

Chal Kanwariya, Chal Kanwad Utha, Kanwad Utha, naira shiv ka laga, man chaha phal, denge baba