Gauri Ke Putra Ganesh Ji Mere Ghar Mein Padharo (गौरी के पुत्र गणेंश जी, मेरे घर में पधारो: भजन)


Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥
Doha- Sada Bhawani Dahini,
Sammukh Rahe Ganesh,
Panch Dev Rakhya Kare,
Bramha Vishnu Ganesh ॥

Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo,
Ghar Main Padharo,
Kirtan Main Padharo,
Kate Sakal Kalesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥

Ekadant Dayavant Charabhuja Dhari,
Mathe Sindur Sohe Mus Ki Sawari,
Hey Sarv Siddhi Sarvesh Ji,
Ghar Main Padharo,
Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥

Modak Priy Mud Mangal Daata,
Vidya Varidhi Buddhi Vidhaata,
Hey Ganapati Putr Umesh Ji,
Ghar Main Padharo,
Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥

Shankar Suvan Bhavani Ke Nandan,
Charan Kamal Pe Shat Shat Vandan,
Mere Hrday Karo Pravesh Ji,
Ghar Main Padharo,
Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥

Gaura Ke Putra Ganesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo,
Ghar Main Padharo,
Kirtan Main Padharo,
Kate Sakal Kalesh Ji,
Mere Ghar Main Padharo ॥
गौरी के पुत्र गणेंश जी, मेरे घर में पधारो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी के पुत्र गणेंश जी, मेरे घर में पधारो, घर में पधारो, कीर्तन में पधारो, काटो सकल कलेश जी, मेरे घर में पधारो ॥
Bhajan Diwali Lakshmi Ganesh Puja BhajanVighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Parishram Kare Koi Kitana Bhi Lekin

Parishram Kare Koi Kitna Bhi Lekin, Kripa Ke Bina Kaam Chalta Nahin