Hey Anand Ghan Mangal Bhawa (हे आनंदघन मंगलभवन, नाथ अमंगलहारी: भजन)


Hey Anandghan Mangalbhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari,
Raghuvar Kripal Prabhu Pranatpaal,
Ab Raakho Laaj Hamari,
Hum Aaye Sharan Tumhari,
Hey Anand Ghan Mangal Bhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari ॥
Tum Jaisa Nahin Patit Udaharan,
Patit Nahin Hum Jaisa,
Bin Karan Jo Drave Deen Par,
Dev Na Dooja Aisa,
Hum Hai Deen Tum Deenbandhu,
Tum Daata Hum Hai Bhikari,
Shri Ram Jai Jai Ram,
Shri Ram Jai Jai Ram,
Hey Anand Ghan Mangal Bhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari ॥

Do Akshar Ka Naam Hai,
Ram Tumhara Naam,
Do Akshar Ka Bhav Le,
Tumko Kare Pranam ॥

Yahi Sochkar Antarman Par,
Likh Liya Naam Tumhara,
Ram Likha Jin Paashanon Par,
Unko Tumne Taara,
Ram Se Ram Ka Naam Bada Hai,
Naam Ki Mahima Bhari,
Shri Ram Jai Jai Ram,
Shri Ram Jai Jai Ram,
Hey Anand Ghan Mangal Bhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari ॥

Hey Anandghan Mangalbhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari,
Raghuvar Kripal Prabhu Pranatpaal,
Ab Raakho Laaj Hamari,
Hum Aaye Sharan Tumhari,
Hey Anand Ghan Mangal Bhawan,
Nath Amangalhari,
Hum Aaye Sharan Tumhari ॥
हे आनंदघन मंगलभवन, नाथ अमंगलहारी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे आनंदघन मंगलभवन, नाथ अमंगलहारी, हम आए शरण तुम्हारी, रघुवर कृपाल प्रभु प्रनतपाल, अब राखो लाज हमारी, हम आए शरण तुम्हारी, हे आनंद घन मंगल भवन, नाथ अमंगलहारी, हम आए शरण तुम्हारी ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanShri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan, Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan, Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..