Hey Bholenath Teri Mahima Nirali (हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली - भजन)


Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali,
Jaane Vo Jis Ne Teri Lagan Lagali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।Teri Sharan Mein Jo Bhi Aaya,
Usko Mili Teri Karuna Ki Chhaya,
Bin Mange Vo Sab Kuchh Pa Le,
Jisne Tera Dhyan Lagaya,
Tera Vachan Kabhi Jaaye Na Khali,
Tera Vachan Kabhi Jaaye Na Khali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Sankat Mochan He Jag Daata,
Tu Hai Sabhi Ka Bhagyavidhata,
Ye Shrishti Parivar Hai Tera
Jan Jan Se Hai Tera Nata,
Jag Bagiya Hai Tu Hai Mali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Shambhu Tere Khel Nirale,
Tera Likha Na Koi Tale,
Bhaktjano Ko Amrit Bante,
Aur Khud Pita Vish Ke Pyale,
Teri Chhavi Mainne Man Mein Vasa Li,
Teri Chhavi Mainne Man Mein Vasa Li,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali,
Jane Vo Jis Ne Teri Lagan Lagali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।
हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली, जाने वो जिस ने तेरी लगन लगाली..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanUdit Narayan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

New Bhaye Pragat Kripala Bhajan By Manoj Muntashir

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Swikar Hame Karle Ham Dukhdo Ke Maare Hai

Sweekar Humen Karle, Hum Dukhdo Ke Maare Hai, Tu Kah De Kahan Jayen, Bas Tere Sahare Hai...

Banke Bihari Ki Dekh Chhata

Banke Bihari Ki Dekh Chhata, Mero Man Hai Gayo Lata Pata | Kab Se Khojun Banvari Ko

Gauri Sut Ganraj Padharo

Gauri Sut Ganraj Padharo, Aake Sare Kaaj Sawaro, Tujhko Aana Hoga, Tujhko Aana Hoga ॥

Ganpati Padharo Ta Ta Thaiya Karte

Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte, Taata Thaiya Karte, Thumak Thumak Pag Dharte, Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte, Aap Ke Padharne Se Bigde Kaam Sanwarte, Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥