Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar (मैया के चरणों में, झुकता है संसार: भजन)


Maiya Ke Charno Me,
Jhukta Hai Sansar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥
Sukh Mein To Maiya Tujhase,
Dur Raha Mein,
Dhan Pad Yash Ke Mad Mein,
Chur Raha Mein,
Jab Dukh Ne Sataya,
To Aaya Tere Dwar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Rakta Bij Ko Maiya,
Tumne Hi Maara,
Sumbha Nisumbha Ko Maiya,
Tumne Hi Sanhara,
Nirmal Maan Se Karti,
Maa Bhakton Pe Upkar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Bhakta Bhav Se Jo Bhi,
Shish Jhuka De,
Duniya Ka Vaibhav Maa Tu,
Uspe Luta De,
‘Anuj Satendr’ Bakhane,
Teri Mahima Aprampar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Maiya Ke Charno Me,
Jhukta Hai Sansar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥
मैया के चरणों में, झुकता है संसार: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया के चरणों में, झुकता है संसार, तीनों लोक में होती, माँ तेरी जय जयकार ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..