Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me (मन लेके आया, माता रानी के भवन में - भजन)


Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me
Man Leke Aaya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
॥ Man Leke Aaya…॥
Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa,

Main Janoo Vaishnav Mata,
Tere Unche Bhawan Ki Maya,
Bhairav Par Krodh Mein Aake,
Maa Tune Trishul Uthaya.
Wo Parvat Jahan Pe Tune,
Shakti Ka Roop Dikhaya,
Bhakto Ne Wahein Pe Maiya,
Tere Naam Ka Bhawan Banaya ।
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
॥ Man Leke Aaya…॥

Tere Tej Ne Jwala Maiya,
Jab Ujiyara Phailaya,
Shah Akabar Nange Pairon,
Tere Daraaar Main Aaya ।
Teri Jagamag Jyot Ke Aage,
Shraddha Se Sheesh Jhukaya,
Tere Bhawan Ki Shobha Dekhi,
Sone Ka Kshatra Chadhaya.
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
॥ Man Leke Aaya…॥

He Chintapoorni Mata,
Teri Mahima Sabase Nyari,
Diye Bhaidas Ko Darshan,
Tu Bhakto Ki Hai Pyari ।
Jo Kare Maa Tera Chintan,
Tu Chinta Har De Sari,
Tere Bhawan Se Jholee Bharake,
Jate Hain Sabhi Pujari ।
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
॥ Man Leke Aaya…॥

Maa Naina Devi Tune,
Yah Nam Bhagat Se Paya,
Naina Gujjar Ko Tune,
Sapane Main Darash Dikhaya ।
Aadesh Pe Tere Usane,
Tera Mandir Banawaya,
Jeevan Bhar Baith Bhawan Main,
Maa Tera Hi Gun Gaya ।
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
॥ Man Leke Aaya…॥

Man Leke Aaya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
Bada Sukh Paya,
Bada Sukh Paya,
Mata Rani Ke Bhawan Main
भक्ति भारत लिरिक्स

Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa,
Jai Jai Maa, Ambe Maa ।

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

मन लेके आया, माता रानी के भवन में - भजन हिन्दी में पढ़ें

मन लेके आया, माता रानी के भवन में, बड़ा सुख पाया, बड़ा सुख पाया...
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Hey Nath Daya Karke Meri Bigdi Bana Dena

Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena, Ab Tak Jo Nibhaya Hai, Age Bhi Nibha Dena, Age Bhi Nibha Dena, Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena ॥

Shiv Tandav Stotram And Kon Hai Woh From Bahubali

Jata Kata Hans Bhramabhramanni Limp Nirjhari, Vilolavi Chivallari Virajaman Murdhani...

Itni Vinti Hai Tumse Hai Bhole Mere

Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Vaise Hi Aage Aur Nibha Lena Tum, Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Kalyug Mein Fir Se Aaja Damru Bajane Wale

Kalyug Main Phir Se Aaja, Damaru Bajane Wale, Dukh Dard Sab Mita Ja, Damaru Bajane Wale ॥

Sada Shiv Sarva Var Data Digamber Ho To Aisa Ho

Sadashiv Sarva Vardata, Digamber Ho to Aisa Ho । Hare Sab Duhkh Bhakton Ke, Dayakar Ho to Aisa Ho

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP