Naam Hai Tera Krishna Kanhaiya (नाम है तेरा कृष्ण कन्हैया नाथद्वारा सन्मुख होगा: भजन)


Naam Hai Tera Krishn Kanhaiya,
Nathdwara Sanmukh Hoga,
Tera Darshan Itna Sundar,
Tu Kitna Sundar Hoga,
Tu Kitna Sundar Hoga ॥
Janam Janam Ki Pyasi Ankhiyan,
Darshan Se Sukh Paoon Main,
Tere Charan Mein Mera Thikana,
Aur Kahi Kyon Jaoon Main,
Shreenath Ji Ke Shubh Nainan Mein,
Shreenath Ji Ke Shubh Nainan Mein,
Karuna Ka Sagar Hoga,
Tera Darshan Itna Sundar,
Tu Kitna Sundar Hoga,
Tu Kitna Sundar Hoga ॥

Man-mohini Murat Teri,
Ghat Ghat Basiya Shyam Tu Hi,
Man Mandir Mein Mohan Tu Hi,
Rom Rom Mein Shyam Tu Hi,
Saanson Mein Meri Bansi Bajaye,
Saanson Mein Meri Bansi Bajaye,
Vo Natwar Nagar Hoga,
Tera Darshan Itna Sundar,
Tu Kitna Sundar Hoga,
Tu Kitna Sundar Hoga ॥

Yamuna Tat Par Banshivat Par,
Tera Rang Nirala Hai,
Radha Ke Sang Raas Rachaiya,
Mohan Murali Wala Hai,
Mahaprabhu Ji Ke Charanon Mein Hi,
Mahaprabhu Ji Ke Charanon Mein Hi,
Har Vaishnav Ka Ghar Hoga,
Tera Darshan Itna Sundar,
Tu Kitna Sundar Hoga,
Tu Kitna Sundar Hoga ॥

Naam Hai Tera Krishn Kanhaiya,
Nathdwara Sanmukh Hoga,
Tera Darshan Itna Sundar,
Tu Kitna Sundar Hoga,
Tu Kitna Sundar Hoga ॥
नाम है तेरा कृष्ण कन्हैया नाथद्वारा सन्मुख होगा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नाम है तेरा कृष्ण कन्हैया, नाथद्वारा सन्मुख होगा, तेरा दर्शन इतना सुन्दर, तू कितना सुन्दर होगा, तू कितना सुन्दर होगा ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Aa Laut Ke Aaja Hanuman

Aa Laut Ke Aaja Hanuman, Tumhe Shri Ram Bulate Hain । Janaki Ke Base Tumame Pran, Tumhe Shri Ram Bulate Hain

Buti Le Aao Hanuman Pyare

Buti Le AAo Hanuman Pyare, Mere Laxam Ke Pran Bachana, Dubati Tere Ram Ki Naiya, Bala Tu Aake Par Lagana, Buti Le AAo Hanuman Pyare, Mere Laxam Ke Pran Bachana ॥

Ye Shree Balaji Maharaj Hai Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai

Ye Shree Balaji Maharaj Hai, Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai, Salasar Ke Mere Balaji, Mere Siyaram Ki Saan Hai, Ye Shree Balaji Maharaj Hai, Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

Bajrangbali Hanuman Tera Jag Mein Danka Baj Raha

Bajarangi Hanuman, Tera Jag main Danka Baaj Raha ॥

Meri Rasna Se Prabhu Tera Naam Nikle

Meri Rasna Se Prabhu Tera Naam Nikle, Har Ghadi Har Pal Ram Ram Nikle ॥