Radha Ka Chitchor Kanhaiya (राधा का चितचोर कन्हैया - भजन)


Radha Ka Chitchor Kanhaiya,
Daooji Ka Natkhat Bhaiya,
Kunj Galin Ka Raas Rachaiya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥
Mor Mukut Motiyan Ki Mala,
Aisa Pyara Roop Nirala,
Kari Kari Akhiyan Kari,
Honthon Ki Lali Matwali,
Pit Vasan Peetambar Dhari,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥

Kis Premi Ne Ise Sajaya,
Kesar Chandan Itar Lagaya,
Baanki Baanki Chitvan Pyaari,
Kar Mein Murli Jaadugari,
Kaanuda Govardhan Dhari,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥

Naino Se Baaten Ye Karta,
Kabhi Machalta Kabhi Matakta,
Jab Dekhoon Hansta Hi Jaye,
Preet Ke Teer Chalata Jaye,
Mera Ji Lalchata Jaye,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥

Makhan Mishri Bega Lyao,
Kanuda Ka Ji Lalchao,
Saara Chat Mat Na Kar Jaana,
‘Nandu’ Kuchh Humko De Jaana,
Tera Mera Pyaar Purana,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥

Radha Ka Chitchor Kanhaiya,
Daooji Ka Natkhat Bhaiya,
Kunj Galin Ka Raas Rachaiya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya,
Bha Gaya Hamen Bha Gaya ॥
राधा का चितचोर कन्हैया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राधा का चितचोर कन्हैया, दाऊजी का नटखट भैया, कुञ्ज गलिन का रास रचैया, भा गया हमें भा गया, भा गया हमें भा गया ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥