Ram Ras Barsyo Re, Aaj Mahre Angan Main (राम रस बरस्यो री, आज म्हारे आंगन में)


Ram Ras Barsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ।
Jag Gaye Sab Soye Sapne,
Sabhi Paraye Ho Gaye Apne,
Lage Prem Ki Mala Japne,
Lage Ram Ki Mala Japne,
Ki Ang-ang Harsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ॥
Yug Yug Ke the Nain Tisaye,
Aaj Piyat Sakhi Bina Pilaye,
Kahan Bithaun Mere Baba Aye,
Kahan Bithaun Mere Satguru Aye,
Thaur Koi Karsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ॥

Thumak Thumak Mori Payal Baje,
Agal Bagal Mera Ram Biraje,
Premi Ko to Preet Hi Sajai,
Premi Ko to Preet Hi Sajai,
Bahut Din Tarsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ॥

Dharti Nachi Ambar Nacha,
Aaj Devta Khulkar Nacha,
Main Nachi Mera Priyatam Nacha,
Main Nachi Mera Satguru Nacha,
Prem Ras Barsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ॥

Ruk Gai Raat, Ruka Hai Chanda,
Sadho! Mangal Mauj Ananda,
Tu Nirdosh Are Kyun Manda,
Tu Nirdosh Are Kyun Manda,
Ghadi Das Barsyo Ri,
Aaj Mhare Angan Mein ॥
राम रस बरस्यो री, आज म्हारे आंगन में - हिन्दी में पढ़ें
राम रस बरस्यो री, आज म्हारे आंगन में । जाग गये सब सोये सपने, सभी पराये हो गये अपने,
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navami BhajanJanaki Jayanti BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥