Shipra Ke Tat Baithe Hai Mere Bhole Bhandari (क्षिप्रा के तट बैठे है, मेरे भोले भंडारी - भजन)


Kshipra Ke Tat Baithe Hai,
Mere Bhole Bhandari,
Bhole Bhandari,
Sabko Darshan Dete Hai,
Shiv Shambhu Tripurari,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥
Ye Hai Ujjaini Ke Raja,
Inki Sharan Mein Tu Aaja,
Shiv Ji Hi Paar Karenge,
Shiv Ji Ke Man Mein Sama Ja,
Tu Shiv Shiv Ratata Ja,
Bhole Ko Bhajta Ja,
Tu Itna Kahata Ja,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥

Bhole Bhi Kitne Hai Bhole,
Jholi Vardaano Ki Khole,
Danav Ho Ya Devta Ho,
Shivji to Sabke Hi Hole,
Bhasmasur Ho Ya Ravan,
Sabko Hai Kiya Pavan,
Shiv Naam Bada Manbhavan,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥

Shiv Ji Ka Dham Nirala,
Sundar Hai Shiv Ka Shivala,
Kailash Hai Yahi Kaashi,
Ujjain Moksh Dene Vaala,
Yahan Kankar Kankar Bole,
Sab Shankar Shankar Bole,
Hey Gangadhar Bhole,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥

Kshipra Ka Amrt Sa Paani,
Kahe Hai Bhole Ki Kahani,
Shiv Bhakto Ka Ye Thikana,
Karte Hai Tap Gyani Dhyani,
Mahakal Ka Karlo Dhyan,
Karlo Inka Gungan,
Kar Denge Ye Kalyan,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥

Kshipra Ke Tat Baithe Hai,
Mere Bhole Bhandari,
Bhole Bhandari,
Sabko Darshan Dete Hai,
Shiv Shambhu Tripurari,
Bhole Bhandari, Bhole Bhandari ॥
क्षिप्रा के तट बैठे है, मेरे भोले भंडारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
क्षिप्रा के तट बैठे है, मेरे भोले भंडारी, भोले भंडारी, सबको दर्शन देते है, शिव शम्भू त्रिपुरारी, भोले भंडारी, भोले भंडारी ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Shipra Ke Tat Baithe Hai Mere Bhole Bhandari Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Pakadlo Bah Raghurai, Nahi Too Doob Jayenge

Pakad Lo Banh Raghurai, Nahin to Doob Jayenge । Dagar Ye Agam Anjani, Pathik Mai Mood Agyani । Sambhaloge Nahi Raghav..

Shri Man Narayan Narayan Hari Hari

Shriman Narayan Narayan Hari Hari , Teri Leela Sabse Nyari Nyari Hari Hari..

Hari Nam Nahi Too Jeena Kya

Hari Nam Nahin to Jeena Kya, Amrt Hai Hari Nam Jagat Mein

Bhajan Bina Chain Na Aaye Ram

Bhajan Bina Chain Na Aaye Ram, Koi Na Jane Kab Ho Jaye, Is Jeevan Ki Shaam ॥ Bolo Ram Ram Ram ॥

Jaha Le Chaloge Vahi Me Chalunga

Jahan Le Chaloge, Wahi Main Chalunga, Jahan Nath Rakh Loge, Wahi Main Rahunga । Ye Jeevan Samarpit, Charan Mein Tumhare,