Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chandan Hai Is Desh Ki Mati (चंदन है इस देश की माटी: भजन)


Chandan Hai Is Desh Ki Mati
Chandan Hai Is Desh Ki Mati,
Tapobhoomi Har Gram Hai ।
Har Bala Devi Ki Pratima,
Bachcha Bachcha Ram Hai ॥
Har Sharir Mandir Sa Pavan,
Har Manav Upkari Hai ।
Jahan Sinh Ban Gaye Khilaune,
Gay Jahon Mon Pyari Hai ।
Jahon Savera Shankh Bajata,
Lori Gati Sham Hai ॥

Har Bala Devi Ki Pratima,
Bachcha Bachcha Ram Hai ॥

Jahan Karm Se Bhagya Badalta,
Shram Nishtha Kalyani Hai ।
Tyag Aur Tap Ki Gathaain,
Gati Kavi Ki Vani Hai ।
Gyan Jahon Ka Gangajal Sa,
Nirmal Hai Aviram Hai ॥

Har Bala Devi Ki Pratima,
Bachcha Bachcha Ram Hai ॥

Jis Ke Sainik Samarbhumi Me,
Gaya Karte Gita Hai ।
Jahon Khet Me Hal Ke Niche,
Khela Karti Sita Hai ।
Jeevan Ka Adarsh Jahon Par,
Parmeshwar Ka Dham Hai ॥

Har Bala Devi Ki Pratima,
Bachcha Bachcha Ram Hai ॥

Chandan Hai Is Desh Ki Mati,
Tapobhoomi Har Gram Hai .
Har Bala Devi Ki Pratima,
Bachcha Bachcha Ram Hai ॥ bb
[BhaktiBharat Geet]

चंदन है इस देश की माटी: भजन हिन्दी में पढ़ें

चंदन है इस देश की माटी, तपोभूमि हर ग्राम है । हर बाला देवी की प्रतिमा, बच्चा बच्चा राम है..
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanInspirational BhajanPatriotism BhajanDeshbhakti BhajanSchool BhajanCollage BhajanIndependence Day BhajanRepublic Day BhajanShaheed Diwas Bhajan

Other Popular Chandan Hai Is Desh Ki Mati Video

BY SINGER ISHITA VISHWAKARMA

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Maa Tu Hi Nazar Aaye

Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye, Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

Aa Darsh Dikha De Meri Maa

Aa Darsh Dikha De Meri Maa, Tujhe Tere Laal Bulate Hai, Tujhe Ro Ro Pukare Mere Nain, Tujhe Ro Ro Pukare Mere Nain, Tujhe Tere Laal Bulate Hai, Aa Darsh Dikha De Meri Maa, Tujhe Tere Laal Bulate Hai ॥

Maa Ki Laal Re Chunariya

Maa Ki Laal Re Chunariya, Dekho Lahar Lahar Lehraye, Maa Ki Naak Ki Nathnia, Damdam Damdam Damki Jaye, Maa Ki Laal Re Chunariya, Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Jai Mahakali Sherawali Saare Jag Ki Tu Rakhwali

Jai Mahakali Sherawali, Saare Jag Ki Tu Rakhwali, Tere Dar Pe Aane Ka Sajda Karoon, Teri Yaad Maan Mujhko Aane Lagi, Jai Mahakali Sherowali, Saare Jag Ki Tu Rakhwali ॥

Kya Karein In Hathon Ka Itne Itne Haath

Kya Kare in Hathon Ka, Itne Itne Hath, Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De, Denge Aashirwad ॥

Shankar Chaura Re

Shankar Chauda Re, Mahamai Kar Rahi Solah Re, Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP