Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath (हे शम्भू बाबा मेरे भोले नाथ - भजन)


Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath
Shiv Naam Se Hai,
Jagat Mein Ujala ।
Hari Bhakto Ke Hai,
Man Mein Shivala ॥
Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath,
Teeno Lok Mein Tu Hi Tu ।
Shraddha Suman Mera,
Man Belapatri,
Jeevan Bhi Arpan Kar Doon ॥

Jag Ka Swami Hai Tu,
Antaryami Hai Tu,
Mere Jeevan Ki,
Anamit Kahani Hai Tu .
Tei Shakti Apaar,
Tera Paavan Hai Dwar,
Teri Pooja Hi,
Mera Jeevan Aadhar ।
Dhul Tere Charanon Ki Le Kar,
Jeevan Ko Sakaar Kiya ॥
॥ Hey Shambhu Baba… ॥

Man Mein Hai Kamna,
Kuchh Main Aur Janu Na,
Zindagi Bhar Karu,
Teri Aradhna.
Sukh Ki Pahachan Dey,
Tu Mujhe Gyan De,
Prem Sab Se Karoon,
Aisa Vardaan Dey ।
Tune Diya Bal Nirbal Ko,
Agyani Ko Gyan Diya ॥
॥ Hey Shambhu Baba… ॥

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath,
Teeno Lok Mein Tu Hi Tu ।
Shraddha Suman Mera,
Man Belapatri,
Jeevan Bhi Arpan Kar Doon ॥

हे शम्भू बाबा मेरे भोले नाथ - भजन हिन्दी में पढ़ें

हे शम्भू बाबा मेरे भोले नाथ, तीनो लोक में तू ही तू। श्रद्धा सुमन मेरा, मन बेलपत्री...
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mujhe Radhe Radhe Kahana Shikhade

Mujhe Radhe Radhe Kahana Sikha De, Kanhaiyan Tera Kya Bigde, Vrindavan Jaoon Tere Gun Gaoon, Charnon Ki Dhooli Ko Mathe Se Lagaoon..

Hey Karuna Mayi Radhe Mujhe Bas Tera Sahara Hai

Hai Karuna Mayi Radhen, Mujhe Bas Tera Sahara Hai, Apna Lo Mujhe Shyama

Mishri Se Mitho Naam

Mishri Se Mitho Naam, Hamari Radha Rani Ko, Radha Rani ko, Hamari Shyam Pyari Ko, Mishri Te Mitho Naam, Hamari Radha Rani Ko ॥

Mhari Pat Rakho Gopal Ek Bas Tharo Saharo Hai

Mhari Pat Rakho Gopal, Ek Bas Tharo Sahaaro Hai,Thodi Karlyo the Mhari Sambhal...

Vridavan Dham Apaar Jape Ja Radhe Radhe

Vrindavan Dham Apaar, Jape Ja Radhe Radhe, Radhe Sab Vedan Ko Saar, Jape Ja Radhe Radhe ।

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP