Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Man Mera Mandir Shiv Meri Pooja (मन मेरा मंदिर, शिव मेरी पूजा: भजन)


Man Mera Mandir Shiv Meri Pooja
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay
Saty Hai Eshwar, Shiv Hai Jeevan, Sundar Yah Sansar hai।
Teeno Lok Hain Tujhame, Teri Maya Aparampar Hai॥
Om Namah Shivay Namo, Om Namah Shivay Namo
Man Mera Mandir, Shiv Meri Pooja,
Shiv Se Bada Nahin Koi Dooja।
Bol Satyam Shivam, Bol Tu Sundaram,
Man Mere Shiv Ke Mahima Ke Gun Gaye Ja॥

Parvati Jab Sita Ban Kar, Jay Shree Ram Ke Sanmukh Ayee।
Ram Ne Unako Mata Kah Kar, Shiv Shankar Ki Mahima Gai।
Shiv Bhakti Mein Sab Kuch Sujha, Shiv Se Badhakar Nahin koee dooja। Bol Satyam Shivam...

Teri Jata Se Nikalee Ganga Aur Ganga Ne Bhishm Diya Hai।
Tere Bhakton Ki Shakti Ne Sare Jagat Ko Jeet Liya Hai।
Tujhako Sab Devon Ne Pooja, Shiv Se Bada Nahin Koi Duja। Bol Satyam Shivam...

Man Mera Mandir, Shiv Meri Pooja,
Shiv Se Bada Nahin Koi Dooja।
Bol Satyam Shivam, Bol Tu Sundaram,
Man Mere Shiv Ke Mahima Ke Gun Gaye Ja॥

मन मेरा मंदिर, शिव मेरी पूजा: भजन हिन्दी में पढ़ें

ॐ नमः शिवाय, सत्य है ईश्वर, शिव है जीवन, सुन्दर यह संसार है। तीनो लोक हैं तुझमे, तेरी माया अपरम्पार है॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan Ke Somvar BhajanMonday BhajanSomwar Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Aaj Somwar Hai Ye Shiv Ka Darbar Hai

Aaj Somvar Hai Ye Shiv Ka Darbar Hai, Bhara Hua Bhandar Hai, Bhole Ban Bhole Ko Manalo, Karenge Beda Paar Hai, Aaj Somvar Hai ॥

Aa Rahi Hai Palki

Aa Rahi Hai Palki, Bholenath Sambhu Mahakal Ki, Haar Phul Dhup Batti, Haathon Mein Hai Thal Prasad,
Sambhu Mahakal Ki, Aa Rahi Hai Palki, Bholenath Sambhu Mahakal Ki ॥

Bholenath Ko Chal Ke Manayenge

Chalo Ji Chalo Ji Chalo, Bholenath Ko Chal Ke Manayenge, Manayenge, Chandan Phul Aor Phal Se, Pawan Ganga Jal se, Chalo Ji Chalo Ji Chalo, Bholenath Ko Chal Ke Manayenge ॥

Shamshano Ke Vasi Ho Bhuto Ka Hai Sath

Shamshano Ke Vasi Ho, Bhuto Ka Hai Sath, Tera Ganga Kinare Dera, Tera Ganga Kinare Dera, O Baba Bhutnath, Shamasanon Ke Vasi Ho, Bhuton Ka Hai Saath ॥

Jagat Ke Sar Par Jinka Hath Vahi Hai Apne Bholenath

Jagat Ke Sar Par Jinka Hath, Vahi Hai Apne Bholenath, Jin Charanon Mein Sada Jhukati, Jin Charanon Mein Sada Jhukati, Sari Duniya Maath, Vahi Hai Apne Bholenath, Vahi Hai Apne Bholenath ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP