Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Namo Namo Shankara (नमो नमो शंकरा - भजन)


Namo Namo Shankara
Jai Ho Jai Ho Shankara, Bholenath Shankara
Aadi Dev Shankara, Hey Shivay Shankara
Tere Jaap Ke Bina, Bholenath Shankara
Chale Ye Saans Kis Tarah
Hey Shivay Shankara ।
Mera Karm Tu Hi Jaane
Kya Bura Hai Kya Bhalaa.
Tere Raaste Pe Main Toh
Aankh Moond Ke Chalaa
Tere Naam Ki Jot Ne
Saara Har Liya Tamas Mera ।

Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara, Rudradev Hey Maheshwarah ।

Srishti Ke Janam Se Bhi
Pehle Tera Vaas Tha
Ye Jag Rahe Ya Naa Rahe
Rahegi Teri Aastha
Kya Samay Kya Pralay
Dono Mein Teri Mahaanta
Mahaanta Mahaanta ।

Seepiyon Ki Ontt Main, Bholenath Shankara
Motiyaan Ho Jis Tarah, Hey Shivay Shankara
Mere Mann Mein Shankara, Bholenath Shankara
Tu Basa Hai Uss Tarah, Hey Shivay Shankara ।

Mujhe Bharam Tha Jo Hai Mera
Tha Nahin Kabhi Mera
Arth Kya Nirarth Kya
Jo Bhi Hai Sabhi Tera
Tere Saamne Hai Jhuka
Mere Sar Pe Haath Rakh Tera ।

Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu, Hey Shivay Shankara
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev Hey Maheshwara ।

Chandrama Lalaat Pe
Bhasm Hai Bhujaaon Mein
Vastra Baagh Chhaal Ka
Hai Khadau Paanv Mein
Pyaas Kya Ho Tujhe
Ganga Hai Teri Jataaon Mein
Jataaon Mein Jataaon Mein ।

Doosron Ke Waaste, Bholenath Shankara
Tu Sadaiv Hai Jiya, Hey Shivay Shankara
Maanga Kuch Kabhi Nahi, Bholenath Shankara
Tune Sirf Hai Diya, Hey Shivay Shankara ।

Samudra Manthan Ka Tha Samay Jo Aa Pada
Dwand Dono Lok Me Vish-amrit Pe Tha Chhida
Amrit Sabhi Main Baant Ke
Pyala Vish Ka Tune Khud Piya ।

Namo Namo Ji Shankara, Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu, Hey Shivay Shankara ।

Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev Hey Maheshwara ॥

Movie: Kedarnath
Singer: Amit Trivedi

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र

नमो नमो शंकरा - भजन हिन्दी में पढ़ें

जय हो जय हो शंकरा, भोलेनाथ शंकरा आदिदेव शंकरा, हे शिवाय शंकरा..
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Mandir Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

mera bhola shankar

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye Teen Lok

Dhan Dhan Bholenath Bant Diye, Teen Lok Ik Pal Bhar Mein । Aise Deendayal Mere Data, Bhare Khajana Pal Bhar Mein

Mere Bhole Baba Arzi Suno Main Tumhe Manane Aayi Hun

Mere Bhole Baba Arzi Suno, Main Tumhe Manane Aayi Hun, Meri Bigadi Bana Dege Baba,
Mein Tumhai Manane Aayi Hun, Mere Bhole Baba Arzi Suno ॥

Jay Ho Baba Vishwanath

Jay Ho Baba Biswanath, Jay Ho Bhola Shankar, Sadashiv Ashutosh, Sadashiv Ashutosh,
Dina Tu Digambar, Jay Ho Baba Biswanath, Jay Ho Bholashankar ॥

More Ujjain Ke Raja Karo Kirpa

More Ujjain Ke Raja Karo Kirpa, More Raja Maharaj Karo Kirpa ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP