Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara (शंकर तेरी जटा से बहती है गंग धारा - भजन)


Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara
Shankar Teri Jata Se,
Bahati Hai Gang Dhara
Kali Ghata Mein Chamke,
Jaise Koi Sitara ।
Shankar Teri Jata Se,
Bahati Hai Gang Dhara
Kali Ghata Mein Chamke,
Jaise Koi Sitara ।

Jay Jay Bholenath Bhandari,
Jay Jay Neelkanth Tripurari ।

Shesh Naag Mastak Par Sohe,
Gal Mundan Ki Maala Mohe,
Nandi Gan Gaura Sang Saaje,
Ganpati Laal Dulara ।

Shankar Teri Jata Se,
Bahati Hai Gang Dhara
Kali Ghata Mein Chamke,
Jaise Koi Sitara ।

Jay Jay Bholenath Bhandari,
Jay Jay Neelkanth Tripurari ।

Yoganiyan Sang Shor Machave,
Taandav Nach Kare Sab Gaave,
Har Har Mahadev Pukare,
Jay Jay Shiv Omkara,

Shankar Teri Jata Se,
Bahati Hai Gang Dhara
Kali Ghata Mein Chamke,
Jaise Koi Sitara ।

Jay Jay Bholenath Bhandari,
Jay Jay Neelkanth Tripurari ।

Aak Dhatoora Khane Wale,
Vish Ka Pyaala Peene Wale,
Vishwanath Aur Amarnath Mein,
Mukti Ka Tera Dwara ।

Shankar Teri Jata Se,
Bahati Hai Gang Dhara
Kali Ghata Mein Chamke,
Jaise Koi Sitara ।

Jay Jay Bholenath Bhandari,
Jay Jay Neelkanth Tripurari ।

शंकर तेरी जटा से बहती है गंग धारा - भजन हिन्दी में पढ़ें

शंकर तेरी जटा से बहती है गंग धारा, काली घटा में चमके जैसे कोई सितारा..
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Mandir BhajanNarendra Chanchal Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mera Bhola Shankar

Dum Dum Damru Bajave Mera Bhola Shankar, Bhagta Nu Naal Nachaave Mera Bhola Shankar...

Meri Akhiyan Taras Rahi Bhole Ka Didar Pane Ko

Meri Akhiyaan Taras Rahi, Bhole Ka Didar Paane Ko, Main Bhagat Dewana Tera, Dikha Dunga Jamane Ko,
Meri Akhiyaan Taras Rahi, Bhole Ka Didar Paane Ko ॥

Bhole Baba Tere Darbar Mein Jo Aate Hai

Bhole Baba Tere Darwar Main Jo Aate Hai, Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai,
Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai ॥

Aao Aa Jao Bholenath

Aao Aa Jao Bholenath, Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein, Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein,
Jagu Din Aur Raat, Aao Aa Jao Bholenath, Aao Aa Jao Bholenath ॥

Main Harpal Gata Jaun Om Namah Shivay

Om Namah Shivay, Om Namah Shivay, Main Harpal Gata Jaun, Teri Bhakti Mein Kho Jaun, Subhah Saam Mein Naam Ko Tere, Bhole Dhyata Jaun, Teri Bhakti Mein Kho Jaun, Teri Bhakti Mein Kho Jaun ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP