Download Bhakti Bharat APP

Nar Se Narayan Ban Jayen Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena (नर से नारायण बन जायें...)


Nar Se Narayan Ban Jayen Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena
Nar Se Narayan Ban Jayen, Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena ॥
Dukhiyon Ke Duhkh Ham Door Karen, Shram Se Kashton Se Nahin Daren ।
Ur Mein Sabke Prati Pyar Bharen, Jal Bankar Maruthal Mein Bikhren ।
Badhaon Se Takra Jayen, Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena ॥

Aalas Mein Divas Na Katen Kabhi, Seva Ke Bhav Na Miten Kabhi ।
Path Se Ye Charan Na Haten Kabhi, Janhit Ke Karya Na Chhuten Kabhi ।
Daivi Kshamtayen Vikasayen, Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena ॥

Yah Vishwa Hamara Hi Ghar Ho, Ur Mein Sneh Ka Nirjhar Ho ।
Manav Ke Beech Na Antar Ho, Bikhra Samta Ka Mrdu Swar Ho ।
Purab Ki Lali Ban Chhayen, Prabhu Aisa Gyan Hamen Dena ॥

नर से नारायण बन जायें... हिन्दी में पढ़ें

नर से नारायण बन जायें, प्रभु ऐसा ज्ञान हमें देना॥ दुखियों के दुःख हम दूर करें...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Krishna BhajanVishanu Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tera Jag Hai Kare Gunagaan Gajaanan Lambodar

Tera Jag Hai Karen Gungaan, Gajanan Lambodar, Lambodar Hey Lambodar, Lambodar Hey Lambodar,
Tu Jag Mein Sabse Mahan, Gajanan Lambodar, Tera Jag Hai Kare Gungaan, Gajanan Lambodar ॥

Gajanand Maharaj Padharo Kirtan Ki Taiyari Hai

Pratham Manaye Ganesh Ke, Dhyaoo Sharada Maat, Maat-Pita Guru Prabhu Charan...

Preet Main Puje Naam Tumhara

Preet Me Puje Naam Tumhara, Ganpati Jagat Khivaiya, Shiv Nandan Ab Aaj Hamari, Paar Lagana Naiyya, Jai Gauri Ke Lala ॥

Main Aaya Hoon Tere Dware Ganaraj Gajanan Pyare

Main Aaya Hoon Tere Dware, Ganaraj Gajanan Pyare, Meri Naiya Padi Hai Kinare, O Vighan Vinashan Haare, Mujhe Kaun Sambhale, Meri Laaj Bachale, Mere Man Mohiya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya ॥

Koi Shubh Kam Ho

Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Reeti Devon Ne Iski Chalai, Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Ram Ka Sewak Pyaara Se Naam Se Bajrang Bala

Lanka Mein Kaal Yo Aa Gaya, Ve Sabke Man Pe Chha Gaye..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
×
Bhakti Bharat APP