Bhajan Maa Sharade Vandana (माँ शारदे वंदना, हे शारदे माँ - भजन)


Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa
Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।
Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa
Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।Tu Swar Ki Devi, Ye Sangeet Tujhse,
Har Shabd Tera Hai, Har Geet Tujhse,
Ham Hain Akele, Ham Hain Adhoore,
Teri Sharan Me, Hamen Pyar De Maa ।

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa
Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Muniyon Ne Samajhi, Guniyon Ne Jani,
Vedon Ki Bhasha, Puranon Ki Bani,
Ham Bhi to Samajhen, Ham Bhi to Janen,
Vidya Ka Hamko, Adhikar De Maa ।

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa
Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Tu Shwetvarni, Kamal Pe Biraje,
Hathon Mein Veena, Mukut Sar Pe Saaje,
Man Se Hamare, Mita De Andhere,
Hamko Ujalon Ka, Sansar De Maa ।

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa
Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।
माँ शारदे वंदना, हे शारदे माँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे शारदे माँ, हे शारदे माँ, अज्ञानता से हमें तार दे माँ।
Bhajan Maa Saraswati BhajanSchool BhajanCollege BhajanSaraswati Shishu Mandir BhajanVasant Panchami BhajanBasant Panchami BhajanSaraswati Puja BhajanSaraswati Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Pakad Lo Hath Banwari

Pakad Lo Hath Banwari, Nahin to Doob Jayenge, Hamara Kuchh Na Bigdega, Tumhari Laaj Jayegi, Pakad Lon Hath Banwari, Nahin to Doob Jayenge ॥

Yasoda Ma Ke Hoyo Laal Badhai Saare Bhagta Ne

Yashoda Maan Ke Hoyo Laal, Badhai Saare Bhakta Ne, Badhai Saare Bhakta Ne, Baajyo Re Baajyo Dekho Thaal, Badhai Saare Bhakta Ne, Yashoda Maan Ke Hoyo Laal, Badhai Saare Bhakta Ne ॥

He Govind He Gopal Ab To Jeevan Hare

Hey Govind Hey Gopal Ab to Jeevan Hare । Ab to Jeevan Hare Prabhu Sharan Hai Tihare..

Kanhaiya Har Ghadi Mujhko Tumhari Yaad Aati Hai

Kanhaiya Har Ghadi Mujhko, Tumhari Yaad Aati Hai, Mujhe Mohan Rulati Hai, Tumhari Yaad Aati Hai, Mujhe Mohan Rulati Hai, Tumhari Yaad Aati Hai ॥

Sudh Le Lo Meri Ghanshyam

Sudh Le Lo Meri Ghanshyam, Aap Aae Nahin, Aur Khabar Bhi Na Li, Khat Likh Likh Ke Bheje Tamam, Sudh Le Lon Meri Ghanshyam, Sudh Le Lon Meri Ghanshyam ॥