Bhole Aisi Bhang Pila De Jo Tan Man Me Ram Jaye (भोले ऐसी भांग पिला दे, जो तन मन में रम जाए: भजन)


Shiv Saman Data Nahin,
Hai Ye Devon Ke Hai Dev,
Bhakton Ke Hit Vish Piya,
Kahalaye Mahadev ॥
Bhole Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye,
Tan Man Mein Ram Jaye Bhole,
Rom Rom Bas Jaye,
Koi Lakh Jatan Kar Haare,
Utre Na Utraye,
Bholen Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥

Tumhari Bhang Ke Liye,
Taraste Hai Bramha Aur Vishnu,
Vinti Karte Baar Baar Sab,
Kripa Karo He Shambhoo,
Kya Nar Kya Narayan,
Sab Hai Tumhari Aas Lagaye,
Koi Lakh Jatan Kar Haare,
Utre Na Utraye,
Bholen Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥

Bhakti Bhav Ki Bhang Tumhari,
Jo Peeve Tar Jaye,
Janm Maran Ke Bandhan Se,
Vah Paar Utar Jaye,
Aatm Panchhi Udkar Tere,
Dhaam Pahunch Jaye,
Koi Lakh Jatan Kar Haare,
Utre Na Utraye,
Bholen Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥

Meera Aur Kabira Ne Pi,
Pi Raheem Hari Bole,
Surdas Aur Tulsi Ne Pi,
To Antar Pat Khole,
Aisi Mujhe Pila De Bhole,
Soya Man Jag Jaye,
Koi Lakh Jatan Kar Haare,
Utre Na Utraye,
Bholen Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥

Bhole Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye,
Tan Man Mein Ram Jaye Bhole,
Rom Rom Bas Jaye,
Koi Lakh Jatan Kar Haare,
Utre Na Utraye,
Bholen Aisi Bhang Pila De,
Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥

श्री शिव पंचाक्षर स्तोत्र | शिव चालीसा | आरती: श्री शिव, शंकर, भोलेनाथ
भोले ऐसी भांग पिला दे, जो तन मन में रम जाए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले ऐसी भांग पिला दे, जो तन मन में रम जाए, तन मन में रम जाए भोले, रोम रोम बस जाए, कोई लाख जतन कर हारे, उतरे ना उतराए, भोलें ऐसी भांग पिला दे, जो तन मन में रम जाए ॥
Bhajan Jyotirling BhajanShiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanSawan Mahina Somvar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥