Bhole Teri Nirali Shan (भोले तेरी निराली शान - भजन)


Bhole Teri Nirali Shan,
Kare Jagat Ka Tu Kalyan,
Sabko Saran Mein Rakhle Apni,
Tujhsa Nahi Mahan,
O Bhole Tera Jawab Kaha,
Bhole Teri Nirali Shan ॥
Dukh Ka Hai Sagar Jivan,
Manav Ka Sara,
Sukh Ka Hai Ek Hi Katara,
Tera Sahara,
Usi Ek Katre Ko,
Pina Mein Chahun,
Tere Darash Mein Bite,
Jivan Ye Sara,
O Bhole Tera Jawab Kaha,
Bhole Teri Nirali Shan ॥

Sara Jagat Hai Bhole,
Teri Hi Maya,
Manav Hun Mein Meri,
Nashwar Hai Kya,
Tere Naam Pe Apna,
Jivan Luta Dun,
Rahe Mere Sar Pe,
Sada Tera Saya,
O Bhole Tera Jawab Kaha,
Bhole Teri Nirali Shan ॥

Sare Jagat Ke Hit Mein,
Ganga Ko Dhara,
JIsne Bhi Tujhe Pukara,
Usko Ubara,
Meri Bhi Sunle Vinti,
O Mere Bhole,
Main Kar Dun Arpan,
Apna Tan Maan Ye Sara,
O Bhole Tera Jawab Kaha,
Bhole Teri Nirali Shan ॥

Bhole Teri Nirali Shan,
Kare Jagat Ka Tu Kalyan,
Sabko Saran Mein Rakhle Apni,
Tujhsa Nahi Mahan,
O Bhole Tera Jawab Kaha,
Bhole Teri Nirali Shan ॥
भोले तेरी निराली शान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले तेरी निराली शान, करे जगत का तू कल्याण, सबको शरण में रखले अपनी, तुझसा नहीं महान, ओ भोले तेरा जवाब कहाँ, भोलें तेरी निराली शान ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Bhole Teri Nirali Shan Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhagwan Buddha Vandan

Namo Tass Bhagvato Arhato Samma Sambuddhass ।

Ujjain Ke Maharaj Ho Dino Ke Dinanath Ho

Ujjain Ke Maharaj Ho, Dino Ke Dinanath Ho, Tum Kalo Ke Kal Ho, Baba mahakal Ho ॥

Chali Paniya Bharan Shiv Naar

Ithalati Hui Bal Khati Hui, Chali Paniya Bharan Shiv Naar, Sagar Se Utri Gagariya ॥

Bhole Teri Nirali Shan

Bhole Teri Nirali Shan, Kare Jagat Ka Tu Kalyan, Sabko Saran Mein Rakhle Apni, Tujhsa Nahi Mahan, O Bhole Tera Jawab Kaha, Bhole Teri Nirali Shan ॥

Kaal Kya Karega Mahakal Ke Aage

Kar Lunga Do-do Baat Main, Us Kaal Ke Aage