Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv (चरण शरण में राख सदाशिव: भजन)


Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole,
Bam Bhole, Shankar Bhole,
Shiv Sambhu Damru Wale,
Kab Se Aash Lagaye Betha,
Kab Se Aash Lagaye Betha,
Sun Lo Meri Pukar,
Daya Kar Bam Bhole,
Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole ॥
Aughad Dani Naam Tera,
Shamashanon Ke Vasi Ho,
Shish Gang Sarpo Ki Maala,
Gaur Varn Avinashi Ho,
Nandi Ke Avtar Krupa Kar,
Nandi Ke Avtar Krupa Kar,
Bhar De Sukh Bhandar,
Daya Kar Bam Bhole,
Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole ॥

Ram Naam Ki Masti Main,
Mast Sada Rahte Swami,
Ghat Ghat Mein Hai Vas Tera,
Shiv Bhole Antaryami,
Maiya Parvati Ke Swami,
Mata Parvati Ke Swami,
Shrasthi Ke Aadhar,
Daya Kar Bam Bhole,
Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole ॥

Tantra Mantra Bhakti Pooja,
In Sabaka Na Gyaan Mujhe,
Naam Ek Tera Jaanu,
Aur Na Koi Bhaan Mujhe,
Karo Krpa Hai Baidnaath Ye,
Karo Krpa Hai Baidnaath Ye,
‘Saanvar’ Pada Hai Dwaar,
Daya Kar Bam Bhole,
Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole ॥

Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole,
Bam Bhole, Shankar Bhole,
Shiv Sambhu Damru Wale,
Kab Se Aash Lagaye Betha,
Kab Se Aash Lagaye Betha,
Sun Lo Meri Pukar,
Daya Kar Bam Bhole,
Charan Sharan Mein Rakh Sadashiv,
Teri Hai Darkar,
Daya Kar Bam Bhole ॥
चरण शरण में राख सदाशिव: भजन - हिन्दी में पढ़ें
चरण शरण में राख सदाशिव, तेरी है दरकार, दया कर बम भोले, बम भोले, शंकर भोले, शिव शम्भू डमरू वाले, कब से आस लगाए बैठा, कब से आस लगाए बैठा, सुन लो मेरी पुकार, दया कर बम भोले, चरण शरण मे राख सदाशिव, तेरी है दरकार, दया कर बम भोले ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji

Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji, Tere Bina Main Kuch Nahi Baba Sab Kuch Tujhse Hi, Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥

Saja Hai Pyara Darbar Baba Ka

Saja Hai Pyara Darabar Baba Ka, Bhakton Ne Milakar Ke Kiya Hai, Shrrngar Baba Ka, Saja Hain Pyaara Darabar Baba Ka, Lage Hai Nyara Darabar Baba Ka ॥

Sunte Sabki Pukar Hanuman Ji

Sunate Sabaki Pukaar, Jo Bhi Shraddha Aur Prem Se Hai, Aata Inake Dwar, Bolo Jayakaar,
Jay Bajarangi Bolo Ji Bolo, Jay Bajarangi ॥

Mere Balaji Sarkar Ke To Rang Nirale Hai

Mere Balaji Sarkar, Ke To Rang Nirale, Daya Drusthi Karte Sab Par, Mehendipur Wale Hai, Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥

Bajrang Bala Bada Ho Matwala

Bajarang Bala Bada Ho Matawala, Mhe Phera Thaari Maala, Lago Ho Manabhawana, Aavo Aavo Ni,
Balaji Mhare Aangana ॥