Choki Teri Mata Raniye Tere Baccho Ne Karai Hai (चौकी तेरी माता रानिये, तेरे बच्चो ने कराई है: भजन)


Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥
Doha - Prathame Guru Bandan Karun,
Dutiye Aad Ganesh,
Tritiye Sumirun Sarada,
Kantha Kare Prabesh ॥

Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai,
Pyara Tera Bhawan Saja,
Teri Jyot Maa Jagae Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥

Chutri Gotedar Datiye,
Tujhe Bhent Chadhae Hai,
Buti Buti Meine Apne,
Haathon Se Sajae Hai,
Odh Ke Tu Chutri Datiye,
Odh Ke Tu Chutri Datiye,
Hole Hole Muskai Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥

Phoolon Jaise Haathon Mein,
Mehendi Rachae Hai,
Meena Bajaar Se O Maa,
Chudi Mangae Hai,
Phoolon Se Maa Chandan Ki,
Phoolon Se Maa Chandan Ki,
Dekh Choki Mehkae Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥

Maiya Tera Mushkurana,
Shan Meri Badhae Hai,
Sher Pe Shawar Ho Ke,
Mere Angan Mein Aae Hai,
Hanuman Bhairav Ko Bhi,
Hanuman Bhairav Ko Bhi,
Sanga Apne Maa Lae Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥

Sara Parivar Maiya Ji,
Hame Deta Badhae Hai,
Teri Meharbani Ne,
Ghadi Ye Dikhae Hai,
Aaj Ki Shaam Humne,
Aaj Ki Shaam Humne,
Sang Tere Bitai Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥

Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai,
Pyara Tera Bhawan Saja,
Teri Jyot Maa Jagae Hai,
Choki Teri Mata Raniye
Tere Baccho Ne Karai Hai ॥
चौकी तेरी माता रानिये, तेरे बच्चो ने कराई है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
चौकी तेरी माता रानिये, तेरे बच्चो ने कराई है, प्यारा तेरा भवन सजा, तेरी ज्योत माँ जगाई है, चौंकी तेरी माता रानिये, तेरे बच्चो ने कराई है ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..