Dedo Apni Pujarin Ko Vardan Maa (दे दो अपनी पुजारन को वरदान माँ: भजन)


Karva Chauth, Navadurga, Durga Pooja, Navaratri, Navaratre, Navratri, Mata Ki Chauki, Devi Jagran, Jagrata, Shukravar Durga Tatha Ashtmi Ke Shubh Avasar Par Gaye Jaane Wala Prasiddh Va Lokapriy Bhajan. Yah Bhajan Prarambhik Daur Me Gayika Anuradha Paudwal Dwara Gaya Gaya Hai ।
De Do Apni Pujaran Ko Vardan Maa,
Maiya Jab Tak Jiyu Main Suhagan Jiyu,
Mujhse Ho Na Juda Mera Bhagwan Maa,
Maiya Jab Tak Jiyu Main Suhagan Jiyu ॥

Main Din Raat Tumse Yahi Mangti,
Saya Sir Pe Rahe Mere Sartaaj Ka,
Aur Is Ke Siva Kuch Nahin Mangti,
Bas Yahi Ek Dil Mein Hai Arman Maa ।
De Do Apni Pujaran Ko Vardan Maa ॥

Koi Mandir Saje Na Bina Moorti ,
Bin Khavaiya Ke Naiya Hai Kis Kaam Ki,
Is Bagiyan Ka Mali Salamat Rahe,
Mala Japti Rahoon Main Tere Naam Ki ।
De Do Apni Pujaran Ko Vardan Maa ॥

Mere Jeevan Ka Malik Hai Jo Devta,
Umr Meri Bhi Us Ko Laga Dena Maa,
Unki Sanso Mein Sanse Ye Ghulti Rahe,
Dil Se Mujhko Yahi Bas Dua Dena Maa,
Tera Hoga Bada Hi Ehsaan Maa ।
De Do Apni Pujaran Ko Vardan Maa ॥

De Do Apni Pujaran Ko Vardan Maa,
Maiya Jab Tak Jiyu Main Suhagan Jiyu ,
Mujhse Ho Na Juda Mera Bhagwan Maa,
Maiya Jab Tak Jiyu Main Suhagan Jiyu ॥
दे दो अपनी पुजारन को वरदान माँ: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दे दो अपनी पुजारन को वरदान माँ, मैया जब तक जियु मैं सुहागन जियु,..
Bhajan Karwa Chauth BhajanSuhagin BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanSantoshi Maa BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Dedo Apni Pujarin Ko Vardan Maa Video

Dedo Apni Pujarin Ko Vardan Maa By Pt. Nandkishor Pandey

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥