Devo Me Sabse Bade Mere Mahadev Hai (देवो में सबसे बड़े, मेरे महादेव हैं - भजन)


Devo Mein Sabse Bade,
Mere Mahadev Hain,
Sarpo Ki Gale Maal,
Chandrama Sohe Bhaal,
Adbhut Mahadev Hai ॥
Hey Tripurari Hey Gangadhari,
Srishti Ke Shiv Tum to Aadhar Ho,
Mrigchhaladhari Bhasmiaadhari,
Bhakto Ki Karte Naiya Paar Ho,
Jo Bhi Tere Dar Pe,
Aaye Poore Man Se,
Man Ki Murade Jaroor Paye,
Damroo Ki Dhun Se,
Kasht Mite Tan Ke,
Sapne Vo Man Ke Jaroor Paye,
Dam Dam Dam Damroo Baje,
Dekhe Sabhi Dev Hain,
Sarpo Ki Gale Maal,
Chandrama Sohe Bhaal,
Adbhut Mahadev Hai ॥

Dharti Ke Kan Kan Mein Ho Samaye,
Jai Jai Saare Jag Ke Log Kare,
Leela Hai Nyari Nandi Ki Sawari,
Bhang Dhature Ka Bhog Kare,
Bhasm Ramate Hain Kand Mool Khate,
Tan Par Baaghambar Ka Vesh Kiya Hai,
Trinetradhari Ke Khel Hain Nirale,
Jata Joot Jogi Ka Bhesh Kiya Hai,
Maan Gange Inki Jata,
Karti Abhishek Hai,
Sarpo Ki Gale Maal,
Chandrama Sohe Bhaal,
Adbhut Mahadev Hai ॥

Shriramji Ki Hanumanji Ki,
Shakti Mile Inke Darbaar Mein,
Shankaravtaari Vishpyaala Dhaari,
Naam Neelkanth Pada Sansaar Mein,
Dev Asur Sabne Haar Maanli Thi,
Tab Shiv Shambhoo Ne,
Ye Kaam Kiya Tha
Pi Ke Vish Ki Gagri,
Gale Mein Samai,
Mita Ke Musibat,
Nihaal Kiya Tha,
Main Kya Kahoon Main Kuchh Nahi,
Sabse Alag Dev Hain,
Sarpo Ki Gale Maal,
Chandrama Sohe Bhaal,
Adbhut Mahadev Hai ॥

Devo Mein Sabse Bade,
Mere Mahadev Hain,
Sarpo Ki Gale Maal,
Chandrama Sohe Bhaal,
Adbhut Mahadev Hai ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
देवो में सबसे बड़े, मेरे महादेव हैं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
देवो में सबसे बड़े, मेरे महादेव हैं, सर्पो की गले माल, चंद्रमा सोहे भाल, अद्भुत महादेव है ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSawan Somvar BhajanShiv Terash BhajanJyotirling BhajanKanwar BhajanKanwar Yatra BhajanKanwariya BhajanBhole Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Om Mangalam Omkar Mangalam

Om Mangalam Omkar Mangalam, Om Mangalam Omkar Mangalam, Som Mangalam Saradhar Mangalam

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mera Dil Atka Teri Murat Pe

Milne Ko, Milne Ko Tadpade Maiya Ko, Rahti Fir Maa Ko Sawar Nahi, Mera Dil Atka Teri Murat Pe,
Mujhko To Kisi Ki Khabar Nahi ॥