Dulha Bane Bholenath Ji Hamare (दूल्हा बने भोलेनाथ जी हमारे: भजन)


Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar,
Is Dulhe Pe Jag Hai Dewana, Dewana,
Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar ॥Na Hai Ratna Abhusan Tan Pe,
Balihari Jaun Bhole Pan Pe,
Chamke Mathe Par Chanda,
Aae Shubh Din Ye Shiv Ki Lagan Ke,
Dale Sarpo Ke Haar,
Kesa Ajab Srungar,
Aisa Banna Kisi Ne Dekha Na,
Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar ॥

Lambi Lambi Jatao Ka Sehra,
Kesa Pyara Vibah Ka Najara,
Dhvani Shankh Naad Hi Gunje,
Sang Chale Gano Ka Pahara,
Hoke Nandi Pe Sawar,
Chale Himachal Ke Dwar,
Hua Roshan Ye Tab Hi Jag Sara,
Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar ॥

Chale Hoke Bida Jo Barati,
Gaura Ko Maa Samjhati,
Ja Beti Khusi Tu Rehna,
Rahe Amar Suhag Ki Jodi,
Hai Barati Besumar,
Diye Sabko Upahar,
Jhumo Gan Sare Pake Najrana,
Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar ॥

Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar,
Is Dulhe Pe Jag Hai Dewana, Dewana,
Dulha Bane Bholenath Ji Hamare,
Chali Barat Gaura Ji Ke dwar ॥
दूल्हा बने भोलेनाथ जी हमारे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दूल्हा बने भोलेनाथ जी हमारे, चली बारात गौरा जी के द्वारे, इस दूल्हे पे जग है दीवाना, दीवाना, दूल्हा बने भोलेंनाथ जी हमारे, चली बारात गौरा जी के द्वारे ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Balaji Mujhe Apne Dar Pe Bulana

Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana, Darshan Se Naino Ki, Pyas Bujhana, Balaji Mujhe Apna, Darshan Dikhana,
Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana ॥

Sunte Sabki Pukar Hanuman Ji

Sunate Sabaki Pukaar, Jo Bhi Shraddha Aur Prem Se Hai, Aata Inake Dwar, Bolo Jayakaar,
Jay Bajarangi Bolo Ji Bolo, Jay Bajarangi ॥

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka, Nach Nach Kar Inko Mana, Tabhi To Baba Ayenge, Ram Gun Gayenge,
Kirtan Hoga Aaj, Kirtan Hoga Aaj ॥

Mere Maan Mein Base Hai Ram Mere Tan Mein Base Hai Ram

Chati Chir Ke Hanuman Ne, Bata Diya Shree Ram, Mere Maan Mein Base Hai Ram, Mere Tan Mein Base Hai Ram, Mere Maan Mein Base Hai Ram, Mere Tan Mein Base Hai Ram ॥

Bajrangbali Tune Kalyug Nihaal Kar Diya

Bajarangabali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya, Sankat Mita Bhagaton Ke, Yun Malaamal Kar Diya,
Bajaranga Bali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya ॥