Dum Dum Dum Dum Dumroo Baje Kailash Par Mera Bhola Saje (डम डम डम डम डमरू बजे कैलाश पर मेरा भोला सजे - भजन)


Om Srishti Karta Mam Vivaah Vivah Kur Kur Swaha
Dam Dam Dam Dam Damru Baje
Kailash Par Mera Bhola Saje।
Bhola Saje, Mera Shankar Saje
Gaura Maan Ko Bihane Chale।

Jata Mein Ganga Mathe Pe Chanda,
Bhoot Pret Bhi Hai Unke Sanga।
Baje Mridang Dhol Baaje,
Gaura Maan Ko Bihane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damru Baje...

Gale Mein Jinke Saampon Ki Mala,
Kahate Hain Inhen Damru Wala।
Lekar Haath Trishool Chale,
Gaura Maan Ko Bihaane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damru Baje...

Karte Hain Nandi Ki Sawari,
Kahate Hain Inhen Trinetra Dhaari।
Tan Pe Bhasm Rama Ke Chalen,
Gaura Maan Ko Bihaane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damru Baje...

Aak Dhatoora Inko Bhaaye,
Bhang Ka Yah to Bhog Lagayen।
Devon Mein Dev Mahadev Kahe,
Gaura Maan Ko Bihaane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damu Baje...

Vish Ka Pyaala Bhi Pi Daala,
Teenon Lokon Ka Rakhwala।
Shiv Ko Aadi Anant Kahen,
Gaura Maan Ko Bihaane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damru Baje...

Gangajal Belapatr Chadhaayen,
Kheer Bhi Inko Bahut Hi Bhaaye।
Indu Inki Mahimaan Kahe,
Gaura Maan Ko Bihaane Chale।
Dam Dam Dam Dam Damru Baje...
डम डम डम डम डमरू बजे कैलाश पर मेरा भोला सजे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
डम डम डम डम डमरू बजे, कैलाश पर मेरा भोला सजे ।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSawan Somvar BhajanShiv Terash BhajanJyotirling BhajanKanwar BhajanKanwar Yatra BhajanKanwariya BhajanBhole Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki, Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi, Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki, Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol, Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol, Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke, Rash Prano mein Ghol, Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..