Ganga Se Gangajal Bharke (गंगा से गंगाजल भरक - भजन)


Ganga Se Gangajal Bharke,
Kandhe Shiv Ki Kaawad Dharke,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo ॥
Saawan Mahine Ka Paavan Najara,
Adbhut Anokha Hai Bhole Ka Dwaara,
Saawan Ki Jab Jab Hai Barse Badariya,
Saawan Ki Jab Jab Hai Barse Badariya,
Jhoome Naache Aur Bole Kaawadiya,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo ॥

Rasta Kathin Hai Aur Mushkil Dagar Hai,
Bhole Ke Bhakto Ko Na Koi Dar Hai,
Raahon Mein Jitne Bhi Ho Kante Kankar,
Raahon Mein Jitne Bhi Ho Kante Kankar,
Har Ek Kankar Mein Deekhte Hai Shankar,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo ॥

Kaawad Tapasya Hai Bhole Prabhu Ki,
Grantho Ne Mahima Batai Kaawad Ki,
Hontho Pe Sumiran Ho Pero Mein Chhaale,
Hontho Pe Sumiran Ho Pero Mein Chhaale,
‘Romi’ Tapasya Hum Phir Bhi Kar Daale,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo ॥

Ganga Se Gangajal Bharke,
Kandhe Shiv Ki Kaawad Dharke,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo,
Bhole Ke Dar Chalo Leke Kaawad Chalo ॥
गंगा से गंगाजल भरक - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गंगा से गंगाजल भरके, काँधे शिव की कावड़ धरके, भोले के दर चलो लेके कावड़ चलो, भोले के दर चलो लेके कावड़ चलो ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,