Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala (गोरा रानी ने जपी ऐसी माला: भजन)


Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥
Gaura Se Bole Shambhu Kaho Pukara,
Gaura ji Boli Chahun Saath Tumhara,
Tum Jesa Naath Nahi Koi Nirala,
Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥

Mahalon Ki Rani Tu Hai Main Hun Ek Jogi,
Mere Sang Gaura Tum Kese Rahogi,
Shamsan Parvat Mein Rahne Wala,
Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥

Jaha Rahoge Bhole Mein Bhi Rahungi,
Dashi Tumhari Banke Sewa Karungi,
Gaura Ne Shiv Ji Ko Dali Bar Mala,
Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥

Gaura Ke hridaya Mein Shiv Ji Base Hai,
Janmo Ke Bandhan Mein Dono Bamdhe Hai,
Bairagi Dono Ne Jag Ko Sambhala,
Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥

Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala,
Mila Hai dekho Damru Wala ॥
गोरा रानी ने जपी ऐसी माला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरा से बोले शम्भू काहे पुकारा, गौरा जी बोली चाहूँ साथ तुम्हारा, तुम जैसा नाथ नहीं कोई निराला, गोरा रानी ने जपी ऐसी माला, मिला है देखो डमरू वाला ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chhoti Si Meri Parvati

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se..

Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kehne

Ek Din Maiya Parvati, Bhole Se Lagi Kehne, Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami, Sone Ke Gahane ॥

Choti Si Meri Parvati Shankar Ki Puja Karti Thi

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se, Nit Dhyan Prabhu Ka Dharti Thi..

Parvati Tera Bhola Jagat Me Sabse Nirala Hai

Parvati Tera Bhola, Jagat Mein Sabse Nirala Hai । Jo Mai Hoti Ganga Jaisi

Har Har Shambhu

Har Har Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva, Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva..