Goura Ji Ko Bhole Ka Yogi Roop Suhaya Hai (गौरा जी को भोले का, योगी रूप सुहाया है - भजन)


Gaura Ji Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai,
Isiliye Tap Karke,
Bholenath Ko Paya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka ॥
Kailash Parvat Pe,
Shiv Ji Ka Basera Hai,
Shiv Ji Ke Charnon Mein,
Gaura Maan Ka Dera Hai,
Shiv Shakti Ban Karke,
In Leela Ko Rachaya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai ॥

Mere Bhole Shiv Jaisa,
Dev Na Koi Dooja,
Parvati Maan Inki,
Din Raat Kare Pooja,
Har Yug Mein Shiv Ji Ka,
Dekho Saath Nibhaya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai ॥

Devon Ke Dev Hai Ye,
Mahakal Mahadev,
Ganesh Aur Kartik Ji,
Inki Kare Seva,
Nandi Bhrangi Shivgan Ne,
Jaikara Lagaya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai ॥

Ik Lauta Jal Jo Bhi,
Shiv Ling Pe Chadhata Hai,
Man Ki Muraade Saari,
Shiv Mandir Se Pata Hai,
Apne Sab Bhakto Ko,
Bhav Paar Lagaya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai ॥

Gaura Ji Ko Bhole Ka,
Yogi Roop Suhaya Hai,
Isiliye Tap Karke,
Bholenath Ko Paaya Hai,
Gaura Maan Ko Bhole Ka ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
गौरा जी को भोले का, योगी रूप सुहाया है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरा जी को भोले का, योगी रूप सुहाया है, इसीलिए तप करके, भोलेनाथ को पाया है, गौरा माँ को भोले का ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Teri Surat Pe Jaun Balihari Rasiya

Teri Surat Pe Jaun Balihar Rasiya, Main to Nachungi Tere Darbar Rasiya ॥

Bhajan: Nache Nandlal Nachave Hari Ki Maiya

Nache Nandlal, Nachave Hari Ki Maiya

Bhajan: Ye Too Prem Ki Baat Hai Udho

Ye to Prem Ki Baat Hai Udho, Bandagi Tere Bas Ki Nahin Hai । Yahaan Sar Deke Hote Saude

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari