Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye (हर जनम में बाबा तेरा साथ चाहिए - भजन)


Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye,
Sir Pe Mere Baba Tera Haath Chahiye,
Silsila Ye Tutna Nahi Chahiye,
Mujhako Meri Bhakti Ka Inam Chahie,
Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye ॥
Meri Ankhon Main Tum Samaye Ho,
Sari Duniya Mein Sabse Pyare Ho,
Mujhko Tere Pyar Ki Barsaat Chahiye,
Mujhko Bas Itni Si Sougat Chahiye,
Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye,
Sir Pe Mere Baba Tera Haath Chahiye ॥

Meri Duniya Ko Tum Basaye Ho,
Mere Jivan Ko Tum Sajaye Ho,
Naam Tera Hontho Pe Din Raat Chaahiye,
Jikr Ho Tera Hi Aisi Baat Chaahiye,
Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye,
Sir Pe Mere Baba Tera Haath Chahiye ॥

Mujhape Teri Krpa Yun Kam Na Hai,
Phir Bhi Ek Chhoti Si Tamanna Hai,
Jite Ji Ek Tumse Mulakat Chaahiye,
Har Kadam Pe Baba Tera Pyaar Chahiye,
Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye,
Sir Pe Mere Baba Tera Haath Chahiye ॥

Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye,
Sir Pe Mere Baba Tera Haath Chahiye,
Silsila Ye Tutna Nahi Chahiye,
Mujhako Meri Bhakti Ka Inam Chahie,
Har Janam Mein Baba Tera Sath Chahiye ॥
हर जनम में बाबा तेरा साथ चाहिए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हर जनम में बाबा तेरा साथ चाहिए, सिर पे मेरे बाबा तेरा हाथ चाहिए, सिलसिला ये टूटना नहीं चाहिए, मुझको मेरी भक्ति का इनाम चाहिए, हर जन्म में बाबा तेरा साथ चाहिए ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mhane Hichkiyan Aave Ji

Araj Lagave Ji, Sanwariya Thasu Araj Lagave Ji, Mhari Aankhya Su Neer Bahe, Mhane Hichkya Aave Ji, Yaad Satave Ji, Sanwariya Thari Yaad Satave Ji, Mhari Aankhya Su Neer Bahe, Mhane Hichkya Aave Ji ॥

Bhagwan Sab Kamal Hai Pyare

Bhagwan Sab Kamal Hain Pyare, Teri Meri Dhal Hai Pyare, Bhagwan Sab Kamal Hain Pyare, Teri Meri Dhal Hai Pyare

Jai Jai Jai Ganraj Ji

Yaha Daas Kare Dhyan Tumhara, Har Pal Tumne Diya Sahara, Main Hun Tera Daas, Main Hun Tera Daas Ji,
Teri Jay Hove Maharaj Ji, Jai Jai Jai ॥

Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja

Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Puran Karo Hamare Kaaj, Puran Karo Hamare Kaaj, Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Puran Karo Hamare Kaaj ॥

Omkar Swarupa Sadguru Samartha

Omkar Swarupa Sadguru Samartha, Anathachya Natha Tuj Namo