Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari (इक दिन वो भोले भंडारी बन करके ब्रज की नारी - भजन)


Through Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Hindi Lyrics, Lord Shiva's Leela with the child form of Lord Vishnu, Shri Krishna has been expressed.
Ik Din Vo Bhole Bhandari,
Ban Karke Braj Ki Naari,
Braj/Vrindavan* Mein Aa Gae ।
Parvati Bhi Mana Ke Haari,
Na Mane Tripurari,
Braj Mein Aa Gae ।

Parvati Se Bole,
Main Bhi Chalunga Tere Sang Mein
Radha Sang Shyam Nache,
Main Bhi Nachunga Tere Sang Mein
Raas Rachega Braj Main Bhari,
Hume Dikhado Pyari, Braj Mein Aa Gae ।
॥ Ik Din Vo Bhole Bhandari… ॥

O Mere Bhole Swami,
Kaise Le Jaun Apne Sang Mein
Shyam Ke Siva Vahaan,
Purush Na Jae Us Raas Mein
Hansi Karegi Braj Ki Naari,
Maano Baat Hamari, Braj Mein Aa Gae ।
॥ Ik Din Vo Bhole Bhandari… ॥


Aisa Bana Do Mohe,
Koi Na Jane Es Raj Ko
Main Hun Saheli Teri,
Aisa Batana Braj Raaj Ko
Bana Ke Juda Pahan Ke Sari,
Chaal Chale Matvali, Braj Mein Aa Gae ।
॥ Ik Din Vo Bhole Bhandari… ॥

Hans Ke Sati Ne Kaha,
Balihari Jaun Is Roop Mein
Ik Din Tumhare Lie,
Aaye Murari Is Roop Main
Mohini Roop Banaya Murari,
Ab Hai Tumhari Bari, Braj Mein Aa Gae ।
॥ Ik Din Vo Bhole Bhandari… ॥

Dekha Mohan Ne,
Samajh Gaye Vo Sari Baat Re
Aisi Bajai Bansi,
Sudh Budh Bhule Bholenath Re
Sir Se Khisak Gayi Jab Sari,
Muskaye Girdhari, Braj Mein Aa Gae ।
॥ Ik Din Vo Bhole Bhandari… ॥

Dindayal Tera Tab Se,
Gopeshwar Hua Naam Re
O Bhole Baba Tera,
Vrindavan Bana Dham Re
Bhakt Kahe O Tripurari,
Rakho Laaj Hamari, Braj Mein Aa Gae ।

Ik Din Vo Bhole Bhandari,
Ban Karake Braj Ki Naari,
Braj Mein Aa Gae ।
Parvati Bhi Mana Ke Hari,
Na Mane Tripurari,
Braj Mein Aa Gae ।

* Bhajan Me Braj Ya Vrindavan Ka Naam Alag Alag Bhajankar Lete Hain ।
शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
इक दिन वो भोले भंडारी बन करके ब्रज की नारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
इक दिन वो भोले भंडारी बन करके ब्रज की नारी, ब्रज/वृंदावन में आ गए।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShri Krishna BhajanRaas BhajanMaharas BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar Bhajan

Other Popular Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari Video

By Nandu Das Vaishnav

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tumhein Har Ghadi Maa Pyar Karegi

Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi, Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho, Jhulayegi Palakon Ke Jhoole Mein Tujhko, Bas Ek Baar Maan Tum Bula Karke Dekho, Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi, Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

Apane Charano Ka Sevak Bana Lo

Hume Apne Gale Se Laga Lo Maa, Apane Charano Ka Sevak, Bana Lo Maa ॥

Dadi Ke Darbar Ki Mahima Aprampaar

Dadi Ke Darbar Ki, Mahima Aprampaar, Har Paal Bhakton Ke Upar, Maa Barse Tera Pyar, Dadi Ke Darbar Ki, Mahima Aprampaar ॥

Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi

Hey Kalaratri He Kalyani, Tera Jod Dhara Par Koi Nahin, Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin..

Bheja Hai Bulava Tune Shera Waliye

Bheja Hai Bulava, Tune Shera Valie, O Maiya Tere Darbar | Mein Han Tere Deedar, Ki Main Aunga
Kabhi Na Phir Jaunga