Jab Jab Man Mera Ghabraye (जब जब मन मेरा घबराए - भजन)


Jab Man Mera Ghabraye,
Koi Raah Nazar Na Aaye,
Ye Hath Pakad Kar Mera,
Mujhe Manzil Tak Le Jaye,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥
Koi Bhi Paas Nahin Tha,
Tab Ye Hi Sath Khada Tha
Mujh Deen Heen Ki Khatir,
Deeno Ka Nath Lada Tha,
Mere Sir Pe Hath Phiraya,
Mujhe Apne Gale Lagaya,
Main Har Dam Sath Hoon Tere,
Mujhko Ehsas Karaya,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥

Dardo Ko Sahte Sahte,
Kitna Main Toot Gaya Tha,
Ro Ro Kar in Aankhon Ka,
Har Aansoo Sookh Gaya Tha,
Mere Shyam Ne Mujhe Nihara,
Duhkh Met Diya Hai Sara,
Ab Iske Bharose Chhoda,
Mainne Ye Jeevan Sara,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥

Mere Man Ke Upvan Ka,
Mera Shyam Bana Hai Mali,
Inki Sheetal Chhaya Mein,
Mahki Hain Daali Daali,
‘aanand’ Ka Phool Khilaya,
Jeevan Madhuban Hai Banaya,
Apni Kirpa Ka Amrit,
Mujh Par Hai Khoob Lutaya,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥

Antim Ardas Yahi Hai,
Mere Shyam Ka Hi Ho Jaoon,
Godi Mein Shyam Prabhu Ki,
Main Sar Rakh Kar So Jaoon,
Mujhe Dekh Shyam Muskaye,
Meri Rooh Chain Tab Paye,
Phir ‘taroon’ Shyam Masti Mein,
Lekar Iktara Gaye,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥

Jab Man Mera Ghabraye,
Koi Raah Nazar Na Aaye,
Ye Hath Pakad Kar Mera,
Mujhe Manzil Tak Le Jaye,
Ye Baba to Mera Rakhwala Hai,
Mujhe Pal Pal Sambhala Hain ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
जब जब मन मेरा घबराए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जब मन मेरा घबराए, कोई राह नज़र ना आये, ये हाथ पकड़ कर मेरा..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKhatu BhajanKhatu Shayam BhajanFalgun Mela BhajanRajani Rajasthani Bhajan

Other Popular Jab Jab Man Mera Ghabraye Video

Komal Tiwar

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re