janmashtami 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jeemo Jeemo Sanwariya Thye (भोग भजन: जीमो जीमो साँवरिया थे)


Jeemo Jeemo Sanwariya Thye
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Jee,
Bansuriya Ki Taan Sunata,
Chham Chham Karta Aao Ji,
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji ॥
Makhan Mishri Meva Modak,
Manchaya Mishthan Ji,
Rasgulla Ras Bhari Jalebi,
Chhappan Ras Pakvan Ji,
Pudi Kachaudi Khatti Meethi,
Pudi Kachaudi Khatti Meethi,
Chatni Chakh Batao Ji,
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji ॥

Jo Kuchh Bhi Hai Aap Ri Kirpa,
Meri Ke Aukat Ji,
Devniya the Levniya Main,
Simra Din Aur Raat Ji,
Deenanath Dayalu Bhagwan,
Deenanath Dayalu Bhagwan,
Aao Baiga Aao Ji,
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji ॥

Lahari Bhav Bharoso Puro,
Rakho Mathe Hath Ji,
Barsao Sanwariya Ab to,
Amrt Ki Barsaat Ji,
Seva Mein Koi Bhul-chuk Ho,
Seva Mein Koi Bhul-chuk Ho,
Sanwariya Bisrao Ji,
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji ॥

Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji,
Bansuriya Ki Taan Sunata,
Chham Chham Karta Aao Ji,
Jeemo Jeemo Sanwariya Thye,
Aao Bhog Lagao Ji ॥

भोग भजन: जीमो जीमो साँवरिया थे हिन्दी में पढ़ें

उमा लहरी द्वारा श्री कृष्ण भजन - जीमो जीमो साँवरिया थे, आओ भोग लगाओ जी, बाँसुरिया की तान सुनाता..
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRajasthani BhajanFalgun Mela BhajanUma Lahari Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai, To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi, Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke, Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥

Shri Ram Se Keh Dena Ek Baat Akele Me

Shri Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein, Rota Hai Bharat Bhaiya, Din Raat Akele Mein, Shrin Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein ॥

Man Me To Aave Bhajan Banau

Man Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Balasa, Bhajan Bana Ke Balasa Tujhko Rijhaun

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai, Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai, Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Dar Balaji Ke Arji Laga Le

Dar Balaji Ke Araji Lagale, Aaj Shradha Se Tu Baba Ko Manale, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Saccha Hai Darbar Mere Balaji Ka, Milta Hai Pyar Yahan Balaji Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Janmashtami - Janmashtami
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP