Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar (जोगी भेष धरकर, नंदी पे चढ़कर - भजन)


Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar ॥
Doha - Dekho Dekho Ye Barati,
Ye Baratiyon Ka Hal,
Bail Par Chadhkar,
Mere Bholenaath Aaye Hai,
Andhe Kaane Aur Lule Langade,
Sang Mein Barati Laye Hai ॥

Jogi Bhesh Dharkar,
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai,
Dekh Dekh Dulha Aur Barati,
Dekh Dekh Dulha Aur Barati,
Raja Himachal Mouna Padhar Rahe Hai,
Raja Himachal Mouna Padhar Rahe Hai,
Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai ॥

Dekhakar Ke Dulha Sakhiya,
Ghabara Gai Hai,
Daudi Daudi Gaura Ke,
Paas Aa Gae Hai,
Boli Sakhiya Jakar,
Dulha Sau Baras Ka,
Muhn Se Bahar Uske,
Dant Aa Rahe Hai,
Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai ॥

Mathe Pe Chanda,
Jata Mein Hai Ganga,
Bhasm Ramaye Bhola,
Mast Malang,
Bhut Pret Sare,
Dholak Bajaye,
Sukra Sanichar,
Naach Ga Rahe Hai,
Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai ॥

Haath Jodkar Ke,
Boli Gaura Payri,
Roop Dikhao Ashli,
Bhole Bhandari,
Satrah Barash Ke,
Bane Bhole Baba,
‘Lohiya’ Kahe Ye Mere,
Maan Bha Gaye Hai,
Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai ॥

Jogi Bhesh Dharkar,
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai,
Dekh Dekh Dulha Aur Barati,
Dekh Dekh Dulha Aur Barati,
Raja Himachal Mouna Padhar Rahe Hai,
Raja Himachal Mouna Padhar Rahe Hai,
Jogi Bhesh Dharkar
Nandi Pe Chadhkar,
Goura Ko Bihane,
Bholenaath Aa Gaye Hai ॥
जोगी भेष धरकर, नंदी पे चढ़कर - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जोगी भेष धरकर, नंदी पे चढ़कर, गौरा को बिहाने, भोलेनाथ आ गए है, देख देख दूल्हा और बाराती, देख देख दूल्हा और बाराती, राजा हिमाचल मैना घबरा रहे है, राजा हिमाचल मैना घबरा रहे है, जोगी भेंष धरकर, नंदी पे चढ़कर, गौरा को बिहाने, भोलेनाथ आ गए है ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye