Kaha Prabhu Se Bigadta Kya (कहा प्रभु से बिगड़ता क्या - भजन)


Kaha Prabhu Se Bigadta Kya,
Meri Bigdi Banane Mein
Maja Kya Aa Raha Tumko,
Mujhe Dar Dar Ghumane Mein

Ve Bole Kyon Mere Pichhe,
Pada Tu Roj Rahta Hai,

Main Bola, Dusra Koi
Aur Bata Do Jamane Mein

Ve Bole Ki Hajaron Hain,
Karunga Kripa Kis Kis Par

Main Bola Saph Hi Kah Ho,
Bacha Kuchh Nahin Khajane Mein

Ve Bole Hosh Mein Bolo,
Nahin to Rooth Jaunga,

Main Bola Ho Bade Mahir,
Jaldi Rooth Jane Mein

Kahin Kuch Sadhna Ki Hai,
Vo Bole to Kaha Mainne

Suna Hai Rijh Jate Ho
Phakat Aansu Bahane Mein

Ve Bole Meri Marji Hai
Karunga Jo Bhi Chahunga

Main Bola Kar Do Parivartan,
Karunanidhi Kahne Mein

Ve Bole Karuna Daya Na Hoti
To Jan Rajesh Na Hote

Main Bola Harj Phir Kya Hai,
Mujhe Mukh Chhavi Dikhane Mein

Kaha Prabhu Se Bigadta Kya,
Meri Bigdi Banane Mein
कहा प्रभु से बिगड़ता क्या - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कहा प्रभु से बिगड़ता क्या, मेरी बिगड़ी बनाने में, मजा क्या आ रहा तुमको..
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanRajeshwaranand Ji Bhajan

Other Popular Kaha Prabhu Se Bigadta Kya Video

By Vinod Agarwal Ji

By Prembhushan Ji Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye