Koi Devta Nahi Hai Bhole Nath Ki Tarah (कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह: भजन)


Koi Devta Nahi Hai,
Bhole Nath Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥
Shiv Ne Hamare Waste,
Kya Kya Nahi Kiya,
Sau Baar shukriya Hai,
Sau Sau Baar Shukriya,
Rakhte Khayal Mera,
Aulad Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Ahsaan Inke Lakho Hai,
Kitane Main Ginaun,
Kis Kis Ko Bataun,
Aur Kya Kya Mein Bataun,
Ye Laaj Meri Samjho,
Apni Laaj Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Ab Mangne Ko Haath,
Ye Uthate Nahi Mere,
Kahata ‘Pavan’ Ab Koi,
Chinta Nahi Ghere,
Rahe Sang Ye Hamesa,
Meri Sans Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Koi Devta Nahi Hai,
Bhole Nath Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥
कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह, लूटाते है खजाना बरसात की तरह, लूटाते है खजाना बरसात की तरह ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,