Mahakal Naam Japiye Jutha Jhamela (महाकाल नाम जपिये, झूठा झमेला - भजन)


Mahakal Naam Japiye,
Jhutha Jhamela Jhutha Jhamela,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥
Doha – Teri Manjil To Yahi Thi,
Magar Jindagi Gujar Gayi Aate Aate,
Par Kya Paaya Tune Is Zamane Mein,
Tere Apanon Ne Hi Aag Laga Di,
Tujhe Jaate Jaate ॥

Is Kaaya Ka Hai Bhaag Bhaag,
Bin Paaya Nahi Jaata,
Karm Bina Nasib,
Tod Phal Khaaya Nahi Jaata,
Mahakal Naam Japiye,
Jhutha Jhamela Jhootha Jhamela,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela,
Tu Kya Leke Aaya Jagat Mein,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Is Jagat Sarae Mein,
Musaphir Rahana Do Din Ka,
Kyon Vyartha Kare Gumaan,
Murakh Is Dhan Aur Daulat Ka,
Na Hi Bharosa Re Pal Ka,
Yun Hi Mar Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela,
Tu Kya Leke Aaya Jagat Mein,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Raam Naam Ke Aalasi,
Aur Bhojan Ke Hoshiyaar,
Tulasi Aise Jiv Ko,
Baar Baar Dhikkaar,
Raam Naam Japale Re Bandi,
Yahi Saath Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela,
Tu Kya Leke Aaya Jagat Mein,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Duhkh Mein Sumiran Sab Kare,
Aur Sukh Mein Kare Na Koy,
Jo Sumiran Sukh Mein Kare,
To Duhkh Kaahe Ka Hoy,
Mahakal Naam Japie,
Jhutha Jhamela Jhutha Jhamela,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela,
Tu Kya Leke Aaya Jagat Mein,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Maaya Mari Na Maan Mara,
Mar Mar Gaya Sharir,
Aasha Trshna Na Mari,
Kah Gae Daas Kabir,
Khaali Hath Aaya Re Bande,
Khaali Haath Jaega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela,
Tu Kya Leke Aaya Jagat Mein,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindegi Hai,
Do Din Ka Mela ॥
महाकाल नाम जपिये, झूठा झमेला - भजन - हिन्दी में पढ़ें
माया मरी ना मन मरा, मर मर गया शरीर, आशा तृष्णा ना मरी, कह गए दास कबीर, खाली हाथ आया रे बन्दे, खाली हाथ जाएगा, दो दिन की जिन्दगी है, दो दिन का मेला, तू क्या लेके आया जगत में, क्या लेके जायेगा, दो दिन की जिन्दगी है, दो दिन का मेला ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Asan Tera Larh Fadheya Maa Vaishno

O Asaan Tera Ladki Fadiya (Maan Vaishno), O Rang Naam Vaala Chadhiya (Maan Vaishno)..

Maiya Main Teri Patang

Maiya Main Teri Patang, Hawa Vich Udti Jawagi, Maiya Dor haathen Chaddi Na, Main Katti Jawagi,
Dati Mein Tera Patang ॥

Tere Dar Pe Maa Zindagi Mil Gayi Hai

Tere Dar Pe Maa, Zindagi Mil Gayi Hai, Mujhe Duniya Bhar Ki, Khusi Mil Gae Hai, Tere Dar Pe Maa, Zindagi Mil Gayi Hai ॥

Sawan Suhana Aaya Hai

Sawan Hai Suhana Suhana Suhana, Darshan Maa Ka Pana Hai Pana Hai Pana ॥